ye kis ko jag jag ke taron ki chhanw mein

Rasheed Kausar Farooqi

ye kis ko jag jag ke taron ki chhanw mein

Rasheed Kausar Farooqi

MORE BY Rasheed Kausar Farooqi

  ye kis ko jaag jaag ke tāroñ chhāñv meñ

  ham māñgte haiñ pichhle pahar duāoñ meñ

  kirneñ abhī to gum haiñ ghanerī ghaTāoñ meñ

  bah jā.eñgī ghaTā.eñ ki kirneñ havāoñ meñ

  jannat ko duur duur to DhūñDā gayā magar

  qadmoñ tale na maañ ke na teġhoñ chhāñv meñ

  ḳhushkī ke rahbaroñ se to ye bhī na ho sakā

  kuchh to ḳhudā naam chalā nā-ḳhudāoñ meñ

  yā-rab qafas hai ki chaman kyā hai ye jahāñ

  uljhe paḌe haiñ phuul kaTīlī laTāoñ meñ

  dīvāna mast-hāl hai us ko ḳhabar kahāñ

  jhāñjhan paḌī huī hai ki zanjīr paañv meñ

  donoñ ko apne des miTTī pe naaz hai

  sāñpoñ bāñbiyāñ bhī haiñ phūloñ ke gaañv meñ

  sab chal paḌeñ jo ḳhuld ko jaatī ho koī raah

  gul-mohr do-rūya qatāroñ chhāñv meñ

  ham shaiḳh se ye kah ke sū-e-dair chal diye

  rakhiyegā yaad ham ko bhī apnī duāoñ meñ

  ye kis ko jag jag ke taron ki chhanw mein

  hum mangte hain pichhle pahar ki duaon mein

  kirnen abhi to gum hain ghaneri ghaTaon mein

  bah jaengi ghaTaen ki kirnen hawaon mein

  jannat ko dur dur to DhunDa gaya magar

  qadmon tale na man ke na teghon ki chhanw mein

  KHushki ke rahbaron se to ye bhi na ho saka

  kuchh to KHuda ka nam chala na-KHudaon mein

  ya-rab qafas hai ya ki chaman kya hai ye jahan

  uljhe paDe hain phul kaTili laTaon mein

  diwana mast-haal hai us ko KHabar kahan

  jhanjhan paDi hui hai ki zanjir panw mein

  donon ko apne des ki miTTi pe naz hai

  sanpon ki banbiyan bhi hain phulon ke ganw mein

  sab chal paDen jo KHuld ko jati ho koi rah

  gul-mohr ki do-ruya qataron ki chhanw mein

  hum shaiKH se ye kah ke su-e-dair chal diye

  rakhiyega yaad hum ko bhi apni duaon mein

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY