SEARCH RESULTS
Showing search results for "suufii"
Sher MATCHES FOR "suufii"
Sher
is aalam-e-viiraa.n me.n kyaa anjuman-aaraa.ii
do roz kii mahfil hai ik umr kii tanhaa.ii
Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
Sher
dekhe hai.n bahut ham ne ha.ngaame mohabbat ke
aaGaaz bhii rusvaa.ii anjaam bhii rusvaa.ii
Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
Sher
dilo.n kaa zikr hii kyaa hai mile.n mile.n na mile.n
nazar milaa.o nazar se nazar kii baat karo
Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
Sher
aisaa na ho ye dard bane dard-e-laa-davaa
aisaa na ho ki tum bhii mudaavaa na kar sako
Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
Sher
Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
Sher
zamiir-e-laala mai-e-laal se hu.aa labrez
ishaara paate hii suufii ne to.D dii parhez
Allama Iqbal
Sher
khul ke rone kii tamannaa thii hame.n
ek do aa.nsuu nikal kar rah ga.e
Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
Sher
kitnii fariyaade.n labo.n par ruk ga.ii.n
kitne ashk aaho.n me.n Dhal kar rah ga.e
Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
Sher
jaane kis kii thii KHataa yaad nahii.n
ham hu.e kaise judaa yaad nahii.n
Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
Sher
kise KHabar ki safiine Dubo chukii kitne
faqiih o suufii o shaa.ir kii naa-KHush-andeshii
Allama Iqbal
Sher
hakiim o aarif o suufii tamaam mast-e-zahuur
kise KHabar ki tajallii hai ain-e-mastuurii
Allama Iqbal
Sher
auro.n kii mohabbat ke dohraa.e hai.n afsaane
baat apnii mohabbat kii ho.nTo.n pe nahii.n aa.ii
Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
Sher
jab bhii do aa.nsuu nikal kar rah ga.e
dard ke unvaa.n badal kar rah ga.e
Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
Sher
hai.n vo suufii jo kabhii naalaa-e-naaquus sunaa
vajd karne lage ham dil kaa ajab haal hu.aa
Wazir Ali Saba Lakhnavi
Sher
kaun kis kaa Gam khaa.e kaun kis ko bahlaa.e
terii be-kasii tanhaa mary bebasii tanhaa
Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
Sher
milte ga.e hai.n mo.D na.e har maqaam par
ba.Dhtii ga.ii hai duuriyaa.n manzil jagah jagah