SEARCH RESULTS
Showing search results for "swaad"
Sher MATCHES FOR "swaad"
Sher
talKH lagtaa hai use shahr kii bastii kaa svaad
zauq hai jis ko bayaabaa.n ke nikal jaane kaa
Wali Uzlat
Sher
baare duniyaa me.n raho Gam-zada yaa shaad raho
aisaa kuchh kar ke chalo yaa.n ki bahut yaad raho
Meer Taqi Meer
Sher
'shaad' Gair-mumkin hai shikva-e-butaa.n mujh se
mai.n ne jis se ulfat kii us ko baa-vafaa paayaa
Shaad Aarfi
Sher
KHamoshii se musiibat aur bhii sa.ngiin hotii hai
ta.Dap ai dil ta.Dapne se zaraa taskiin hotii hai
Shad Azimabadi
Sher
itnaa bhii naa-umiid dil-e-kam-nazar na ho
mumkin nahii.n ki shaam-e-alam kii sahar na ho
Naresh Kumar Shad
Sher
ab bhii ik umr pe jiine kaa na andaaz aayaa
zindagii chho.D de piichhaa miraa mai.n baaz aayaa
Shad Azimabadi
Sher
Muneer Niyazi
Sher
dil-e-muztar se puuchh ai raunaq-e-bazm
mai.n KHud aayaa nahii.n laayaa gayaa huu.n
Shad Azimabadi
Sher
sun chuke jab haal meraa le ke a.ng.Daa.ii kahaa
kis Gazab kaa dard zaalim tere afsaane me.n thaa
Shad Azimabadi
Sher
kaTtii hai aarzuu ke sahaare pe zindagii
kaise kahuu.n kisii kii tamannaa na chaahiye
Shaad Aarfi
Sher
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
jaise mirii nigaah ne dekhaa na ho kabhii
mahsuus ye hu.aa tujhe har baar dekh kar
Shad Azimabadi
Sher
kaun sii baat na.ii ai dil-e-naakaam hu.ii
shaam se sub.h hu.ii sub.h se phir shaam hu.ii
Shad Azimabadi
Sher
vo dushmanii se dekhte hai.n dekhte to hai.n
mai.n shaad huu.n ki huu.n to kisii kii nigaah me.n