aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "swaad"
zulf kii chhaa.nv me.n aariz kii tab-o-taab liyelab pe afsuu.n liye aa.nkho.n me.n mai-e-naab liyehar nafas rau me.n liye sorish-e-tuGyaan-e-nihaa.nhar nazar shauq kaa afsaana-e-b-taab liyesehr o ejaaz liye jumbish-e-mizhgaan-e-daraazKHanda-e-shoKh jamaal-e-dur-e-KHush-aab liyezau-fagan ruu-e-hasii.n par shab-e-mahtaab-e-shabaabchashm-e-maKHmuur nashaat-e-shab-e-mahtaab liyenashsha-e-naaz javaanii me.n sharaabor adaajism zauq-e-guhar atlas-o-kamKHvaab liyezulf-e-shab-ra.ng liye sandal o uud o ambarKHam-e-abruu-e-hasii.n dair kii mehraab liyelab-e-gul-ra.ng-o-hasii.n jism gudaaz-o-siimii.nshoKHii-e-barq liye larzish-e-siimaab liyeek sayyaad-e-KHush-andaam svaad-e-mashriqzulf-e-ba.ngaal liye tal.at-e-punjab liyenuzhat o naaz kaa ik paikar-e-shaadaab-o-hasii.nnik.hat-o-nuur kaa umDaa hu.aa sailaab liyemerii vaaraftagii-e-shauq musallam lekinkis kii aa.nkhe.n hai.n zuleKHaa kaa hasii.n KHvaab liye
likhnaa jo chaahtaa thaa vo likkhaa nahii.n gayaanii.ndo.n me.n KHvaab miT ga.ealfaaz kho ga.eik KHaamoshii kaa pe.D mire dil me.n bo ga.ebaarish me.n bad-havaasii kesaare nuquush harfo.n ke dhundlaa ke bah ga.eaa.nsuu ne jo bhii dekhaa thaa us ko miTaa diyaadil ne havas kii aag ko saarii jalaa diyaako.ii na ra.ng-o-ruupdil-e-dard ke qariibaashaa bhii miT ga.ii hai niraashaa bhii miT ga.iidil me.n ko.ii bhii zauq-e-tamaashaa nahii.n raheapne liye to ko.ii bhii achchhaa nahii.n rahemanzar nahii.n rahe hai.n to aa.nkhe.n nahii.n rahii.nKHaamosh hai zabaan ki baate.n nahii.n rahii.nsab paara-paara ho gayaa kis iftiraaq me.nKHaalii makaan saa hai kahaa.n darmiyaan me.nkuchh zehn me.n nahii.n hai mai.n likkhuu.n to kyaa likhuu.nsaare nuquush ghire hai.n qadam mai.n kahaa.n rakhuu.nko.ii raasta nahii.n hai mai.n kis samt me.n chaluu.nmanzil dikhaa.ii de to mai.n us kii taraf ba.Dhuu.naavaaz kho ga.ii ki iz.haar mai.n karuu.njii chaahtaa hai chulluu bhar paanii me.n hii maruu.nko.ii raasta nahii.n haibataa.o mai.n kyaa karuu.nlikhnaa jo chaahtaa thaa vo likkhaa nahii.n gayaakyaa qabr me.n sunaa.uu.ngaa unhe.n mai.n daastaa.nmunkir-nakiir ko mai.nbulaa.uu.n na kyuu.n yahaa.nvo lafz saath le ke aa.e.nto mai.n likkhuu.nek aisii nazm jo ho hikaayat na.ii na.iiban jaa.e jis se merii bhii qismat na.ii na.iiaa.iina-e-jamaal-e-huvaidaa ko kyaa hu.aadiida kii raushnii ko nazaara ko kyaa hu.aasab kho ga.e hai.n daanish o biinish kahaa.n chale.nab vaqt hii nahii.n hai ki dil ko sameT le.nsab kuchh udhaar khaayaa thaa kaise adaa kare.nis nafs kar svaad me.n jii kar bhii kiyaa kare.ndariyaa kinaare jaa.e.n vahaa.n Duub maro hai.nphir is ke baa'd hogaa kyaamagar fan ham ko kuchh nahii.nhaa.n jaante hai.nduur kii gaa.nv ke kanaaruglegii raasta ho ke bahut yaad-e-be-karaa.nhaatho.n me.n apnii paas se kamii laa.egii bahaarghabraa ke saare gaa.nv ke baasii pukaare.ngejuluusii jalaa.o naak ke kii.De sidhaare.ngephir chalo chalolak.Diyo.n ke Dher par hame.nkare.nge savaar voki ban ke phiraag ke nisaarjab raakh apnii dariyaa me.n phir se bahaa.engesaahil kii miTTii me.n na.e gul muskuraa.e.ngekheto.n me.n taaza buuTena.e paudephir se ubhar aa.e.ngeshaayad ki KHatm ho na kabhii bhii ye silsilakitnaa bhii tum pukaaro use der der takkitnii hii kar lo baiTh kar tum na.ii du.aagar aasaan hotaa vo sun.naatumhaarii nidaakartaa ko.ii davaahotaa na saanehahar har qadam pe kartesajda har kahii.nis zindagii kaa hotaahar ik lamha jaa.n-fizaahar pal me.n nuur hotaasunsaan vaadiyo.n me.nchamaktaa ye qaafilaaur phailtii zamiin paris nuur kii nahaahar samt chaa.nd hotaahar ik samt aaftaabphir paikaro.n me.n Dhal ke har ik KHvaabaate hii mire ruu-ba-ruunayaa saa qalam ko.iichalte ham is ke saath bahut duur par kahii.nphir likhte daastaan-e-vajuud-o-adam kahii.nruktaa na phir kahii.n bhiihamaaraa qalam kahii.nlikhnaa jo chaahtaa thaa vo likhaa nahii.n gayaa
paanii jam kar hu.aa rupahlaabarf hai lekin sard nahii.n haisuukhii maaTii par dhundhalkaakohraa hogaa gard nahii.n haisukh ma.asuum hai chhupaa nahii.n haiGam ko.ii bhii fard nahii.n haiye sab jo kahtii rahtii huu.nye meraa diivaana-pan haidard nahii.n hai dard nahii.n haidard nahii.n hai dard nahii.n haipaTTii baa.ndh rakhii unglii pargahre bhed gayaa thaa nashtarkahtii rahtii thii vo sab sehaath paka.D par dekh sa.nbhal karzaKHm achhuutaa rakh kar chhuu lehai ko.ii hamdard nahii.n haiDar bas zaKHm ke risne kaa haidard nahii.n hai dard nahii.n haiis ko ko.ii chho.D gayaa haiis ko ko.ii to.D gayaa hairishto.n kii diivaar surKH haisar ko.ii phir pho.D gayaa haito.D gayaa jo chho.D gayaa jodil us kaa be-dard nahii.n haiTuuTe chhuuTe dil ha.nste hai.ndard nahii.n hai dard nahii.n haisab ne sach kaa svaad chakhaa haikaun sakhii hai kaun sakhaa haisilvaT bhar muskaan kaa pardaaruKH se ruKH tak o.Dh rakhaa haikaaGaz kaa naqlii guldastasuukhaa hai par zard nahii.n haidekho sab hai.n shaad yahaa.n parkin dhaago.n ne baa.ndhaa ham kokin dhaago.n ko baa.ndhaa ham nephuul gaa.nTh se baa.ndhii KHushiyaa.ngaa.nTh se gaa.nTh ko baa.ndhaa Gam negaa.nTh gaThiilaa jiivan saaraain gaa.nTho.n kaa mel nahii.n haikyo.n suljhaa.e.n kaaT na de.n kyo.njaal hai aaKHir jail nahii.n haikuchh majbuur hai.n kuchh hai.n aadiikuchh itne be-dard nahii.n hai.nhaal jo puuchho sab ba.Dhiyaa haidard nahii.n hai dard nahii.n haidard nahii.n hai dard nahii.n hai
aam kii Daalo.n pe chikne sabz pattesabz patto.n par laTaktii kairiyaa.nsabz nannhii kairiyaa.nra.ng ras aur svaad ke KHvaabo.n kii ta.abiiro.n ke a.nkhve khil ga.esabz-piilaa sabz-bhuuraa sabz-kaalaa sabz-zarrii.n sabz-niilaasabz sabz sabz sabzsabz-Gaalib rang kitnii jo.Diyo.n ke saath phailaa hu.aasabz-Gaalib rang baaqii rang goyaa is ke shaderaas-manDal me.n kanhayyaa sabz baaqii us kii gopiyaa.ntez be-had tez be-dam haa.nptii mauj-e-havaa kii laitez be-had tez lekin naGma-rezjhuumtaa gaataa thiraktaa naachtaa maahaulek lai me.n raqs karte hai.n fazaa dehaat jangal khetraqs me.n hai mauj-e-ra.ngmauj me.n aavaazaur phir aavaaz me.n KHushbuu kaa raqssab ke sab hai.n ek lai ke daa.ere me.n ham-navaa ham-raqs baaham ek
kuchh rangus shahr ke liyejahaa.n dego.n k.Daahiyo.n maTko.n aur suraahiyo.n sejhartii hai svaad kii reshamjahaa.n milte hai.n sunahre aamnaara.ngii santare aur surKH tarbuuzjahaa.n kaale naqaab kii aa.D sejhaa.nktii hai.nmotii kii tarah sundar striyaa.naur phir Duub jaatii haighar-girhastii ke ma.amuulii taqaazo.n me.n
namkiin karaare das paise kyaa KHuub pa.Daakaa paapa.D kaakyaa aataa hai das paise me.nkyaa jaataa hai das paise me.nman bhaataa hai das paise me.nnamkiin karaare das paise kyaa KHuub pa.Daakaa paapa.D kaaraajaa khaa.e raanii khaa.ekaanaa khaa.e kaanii khaa.enaanaa khaa.e naanii khaa.enamkiin karaare das paise kyaa KHuub pa.Daakaa paapa.D kaapaapa.D kaa svaad niraalaa haijo pa.Dtaa hai sab Daalaa haipaune kaa paapa.D vaalaa hainamkiin karaare das paise kyaa KHuub pa.Daakaa paapa.D kaa
kyuu.n ziyaa.n-kaar banuu.n suud-faraamosh rahuu.nfikr-e-fardaa na karuu.n mahv-e-Gam-e-dosh rahuu.nnaale bulbul ke sunuu.n aur hama-tan gosh rahuu.nham-navaa mai.n bhii ko.ii gul huu.n ki KHaamosh rahuu.njur.at-aamoz mirii taab-e-suKHan hai mujh koshikva allaah se KHaakam-ba-dahan hai mujh kohai bajaa sheva-e-tasliim me.n mash.huur hai.n hamqissa-e-dard sunaate hai.n ki majbuur hai.n hamsaaz KHaamosh hai.n fariyaad se maamuur hai.n hamnaala aataa hai agar lab pe to ma.azuur hai.n hamai KHudaa shikva-e-arbaab-e-vafaa bhii sun leKHuugar-e-hamd se tho.Daa saa gila bhii sun lethii to maujuud azal se hii tirii zaat-e-qadiimphuul thaa zeb-e-chaman par na pareshaa.n thii shamiimshart insaaf hai ai saahib-e-altaaf-e-amiimbuu-e-gul phailtii kis tarah jo hotii na nasiimham ko jam.iiyat-e-KHaatir ye pareshaanii thiivarna ummat tire mahbuub kii diivaanii thiiham se pahle thaa ajab tere jahaa.n kaa manzarkahii.n masjuud the patthar kahii.n ma.abuud shajarKHuugar-e-paikar-e-mahsuus thii insaa.n kii nazarmaantaa phir ko.ii an-dekhe KHudaa ko kyuu.nkartujh ko ma.aluum hai letaa thaa ko.ii naam tiraaquvvat-e-baazu-e-muslim ne kiyaa kaam tiraabas rahe the yahii.n saljuuq bhii tuuraanii bhiiahl-e-chii.n chiin me.n iiraan me.n saasaanii bhiiisii maamuure me.n aabaad the yuunaanii bhiiisii duniyaa me.n yahuudii bhii the nasraanii bhiipar tire naam pe talvaar uThaa.ii kis nebaat jo big.Dii hu.ii thii vo banaa.ii kis nethe hamii.n ek tire maarka-aaraa.o.n me.nKHushkiyo.n me.n kabhii la.Dte kabhii dariyaa.o.n me.ndii.n azaane.n kabhii europe ke kaliisaa.o.n me.nkabhii africa ke tapte hu.e sahraa.o.n me.nshaan aa.nkho.n me.n na jachtii thii jahaa.n-daaro.n kiikalma pa.Dhte the hamii.n chhaa.nv me.n talvaaro.n kiiham jo jiite the to jango.n kii musiibat ke liyeaur marte the tire naam kii azmat ke liyethii na kuchh teGzanii apnii hukuumat ke liyesar-ba-kaf phirte the kyaa dahr me.n daulat ke liyeqaum apnii jo zar-o-maal-e-jahaa.n par martiibut-faroshii ke evaz but-shikanii kyuu.n kartiiTal na sakte the agar jang me.n a.D jaate thepaa.nv shero.n ke bhii maidaa.n se ukha.D jaate thetujh se sarkash hu.aa ko.ii to biga.D jaate theteG kyaa chiiz hai ham top se la.D jaate thenaqsh-e-tauhiid kaa har dil pe biThaayaa ham nezer-e-KHanjar bhii ye paiGaam sunaayaa ham netuu hii kah de ki ukhaa.Daa dar-e-KHaibar kis neshahr qaisar kaa jo thaa us ko kiyaa sar kis neto.De maKHluuq KHudaa-vando.n ke paikar kis nekaaT kar rakh diye kuffaar ke lashkar kis nekis ne ThanDaa kiyaa aatish-kada-e-iiraa.n kokis ne phir zinda kiyaa tazkira-e-yazdaa.n kokaun sii qaum faqat terii talabgaar hu.iiaur tere liye zahmat-kash-e-paikaar hu.iikis kii shamshiir jahaa.ngiir jahaa.n-daar hu.iikis kii takbiir se duniyaa tirii bedaar hu.iikis kii haibat se sanam sahme hu.e rahte themu.nh ke bal gir ke huu-allahu-ahad kahte theaa gayaa ain la.Daa.ii me.n agar vaqt-e-namaazqibla-ruu ho ke zamii.n-bos hu.ii qaum-e-hijaazek hii saf me.n kha.De ho ga.e mahmuud o ayaazna ko.ii banda rahaa aur na ko.ii banda-navaazbanda o saahab o mohtaaj o Ganii ek hu.eterii sarkaar me.n pahu.nche to sabhii ek hu.emahfil-e-kaun-o-makaa.n me.n sahar o shaam phiremai-e-tauhiid ko le kar sifat-e-jaam phirekoh me.n dasht me.n le kar tiraa paiGaam phireaur ma.aluum hai tujh ko kabhii naakaam phiredasht to dasht hai.n dariyaa bhii na chho.De ham nebahr-e-zulmaat me.n dau.Daa diye gho.De ham nesafha-e-dahr se baatil ko miTaayaa ham nenau-e-insaa.n ko Gulaamii se chhu.Daayaa ham netere ka.abe ko jabiino.n se basaayaa ham netere qur.aan ko siino.n se lagaayaa ham nephir bhii ham se ye gila hai ki vafaadaar nahii.nham vafaadaar nahii.n tuu bhii to dildaar nahii.nummate.n aur bhii hai.n un me.n gunahgaar bhii hai.nijz vaale bhii hai.n mast-e-mai-e-pindaar bhii hai.nun me.n kaahil bhii hai.n Gaafil bhii hai.n hushyaar bhii hai.nsaik.Do.n hai.n ki tire naam se be-zaar bhii hai.nrahmate.n hai.n tirii aGyaar ke kaashaano.n parbarq girtii hai to bechaare musalmaano.n parbut sanam-KHaano.n me.n kahte hai.n musalmaan ga.ehai KHushii un ko ki ka.abe ke nigahbaan ga.emanzil-e-dahr se uu.nTo.n ke hudii-KHvaan ga.eapnii baGlo.n me.n dabaa.e hu.e qur.aan ga.eKHanda-zan kufr hai ehsaas tujhe hai ki nahii.napnii tauhiid kaa kuchh paas tujhe hai ki nahii.nye shikaayat nahii.n hai.n un ke KHazaane maamuurnahii.n mahfil me.n jinhe.n baat bhii karne kaa shu.uurqahr to ye hai ki kaafir ko mile.n huur o qusuuraur bechaare musalmaa.n ko faqat vaada-e-huurab vo altaaf nahii.n ham pe inaayaat nahii.nbaat ye kyaa hai ki pahlii sii mudaaraat nahii.nkyuu.n musalmaano.n me.n hai daulat-e-duniyaa naayaabterii qudrat to hai vo jis kii na had hai na hisaabtuu jo chaahe to uThe siina-e-sahraa se habaabrah-rav-e-dasht ho sailii-zada-e-mauj-e-saraabtaan-e-aGyaar hai rusvaa.ii hai naadaarii haikyaa tire naam pe marne kaa evaz KHvaarii haibanii aGyaar kii ab chaahne vaalii duniyaarah ga.ii apne liye ek KHayaalii duniyaaham to ruKHsat hu.e auro.n ne sa.nbhaalii duniyaaphir na kahnaa hu.ii tauhiid se KHaalii duniyaaham to jiite hai.n ki duniyaa me.n tiraa naam rahekahii.n mumkin hai ki saaqii na rahe jaam raheterii mahfil bhii ga.ii chaahne vaale bhii ga.eshab kii aahe.n bhii ga.ii.n sub.h ke naale bhii ga.edil tujhe de bhii ga.e apnaa sila le bhii ga.eaa ke baiThe bhii na the aur nikaale bhii ga.eaa.e ushshaaq ga.e vaada-e-fardaa le karab unhe.n Dhuu.nD charaaG-e-ruKH-e-zebaa le kardard-e-lailaa bhii vahii qais kaa pahluu bhii vahiinajd ke dasht o jabal me.n ram-e-aahuu bhii vahiiishq kaa dil bhii vahii husn kaa jaaduu bhii vahiiummat-e-ahmad-e-mursil bhii vahii tuu bhii vahiiphir ye aazurdagi-e-Gair sabab kyaa ma.aniiapne shaidaa.o.n pe ye chashm-e-Gazab kyaa ma.aniitujh ko chho.Daa ki rasuul-e-arabii ko chho.Daabut-garii pesha kiyaa but-shikanii ko chho.Daaishq ko ishq kii aashufta-sarii ko chho.Daarasm-e-salmaan o uvais-e-qaranii ko chho.Daaaag takbiir kii siino.n me.n dabii rakhte hai.nzindagii misl-e-bilaal-e-habashii rakhte hai.nishq kii KHair vo pahlii sii adaa bhii na sahiijaada-paimaali-e-tasliim-o-razaa bhii na sahiimuztarib dil sifat-e-qibla-numaa bhii na sahiiaur paabandi-e-aa.iin-e-vafaa bhii na sahiikabhii ham se kabhii Gairo.n se shanaasaa.ii haibaat kahne kii nahii.n tuu bhii to harjaa.ii haisar-e-faaraa.n pe kiyaa diin ko kaamil tuu neik ishaare me.n hazaaro.n ke liye dil tuu neaatish-andoz kiyaa ishq kaa haasil tuu nephuu.nk dii garmi-e-ruKHsaar se mahfil tuu neaaj kyuu.n siine hamaare sharer-aabaad nahii.nham vahii soKHta-saamaa.n hai.n tujhe yaad nahii.nvaadii-e-najd me.n vo shor-e-salaasil na rahaaqais diivaana-e-nazzaara-e-mahmil na rahaahausle vo na rahe ham na rahe dil na rahaaghar ye uj.Daa hai ki tuu raunaq-e-mahfil na rahaaai KHushaa aa.n roz ki aa.ii o ba-sad naaz aa.iibe-hijaabaana suu-e-mahfil-e-maa baaz aa.iibaada-kash Gair hai.n gulshan me.n lab-e-juu baiThesunte hai.n jaam-ba-kaf naGma-e-kuu-kuu baiThedaur ha.ngaama-e-gulzaar se yaksuu baiThetere diivaane bhii hai.n muntazir-e-huu baiTheapne parvaano.n ko phir zauq-e-KHud-afrozii debarq-e-deriina ko farmaan-e-jigar-sozii deqaum-e-aavaara inaa.n-taab hai phir suu-e-hijaazle u.Daa bulbul-e-be-par ko mazaaq-e-parvaazmuztarib-e-baaG ke har Gunche me.n hai buu-e-niyaaztuu zaraa chhe.D to de tishna-e-mizraab hai saaznaGme betaab hai.n taaro.n se nikalne ke liyetuur muztar hai usii aag me.n jalne ke liyemushkile.n ummat-e-marhuum kii aasaa.n kar demor-e-be-maaya ko ham-dosh-e-sulaimaa.n kar dejins-e-naayaab-e-mohabbat ko phir arzaa.n kar dehind ke dair-nashiino.n ko musalmaa.n kar dejuu-e-KHuu.n mii chakad az hasrat-e-dairiina-e-maamii tapad naala ba-nishtar kada-e-siina-e-maabuu-e-gul le ga.ii bairuun-e-chaman raaz-e-chamankyaa qayaamat hai ki KHud phuul hai.n Gammaaz-e-chamanahd-e-gul KHatm hu.aa TuuT gayaa saaz-e-chamanu.D ga.e Daaliyo.n se zamzama-pardaaz-e-chamanek bulbul hai ki mahv-e-tarannum ab takus ke siine me.n hai naGmo.n kaa talaatum ab takqumriyaa.n shaaKH-e-sanobar se gurezaa.n bhii hu.ii.npattiyaa.n phuul kii jha.D jha.D ke pareshaa.n bhii hu.ii.nvo puraanii raushe.n baaG kii viiraa.n bhii hu.ii.nDaaliyaa.n pairahan-e-barg se uryaa.n bhii hu.ii.nqaid-e-mausam se tabii.at rahii aazaad us kiikaash gulshan me.n samajhtaa ko.ii fariyaad us kiilutf marne me.n hai baaqii na maza jiine me.nkuchh maza hai to yahii KHuun-e-jigar piine me.nkitne betaab hai.n jauhar mire aa.iine me.nkis qadar jalve ta.Dapte hai.n mire siine me.nis gulistaa.n me.n magar dekhne vaale hii nahii.ndaaG jo siine me.n rakhte ho.n vo laale hii nahii.nchaak is bulbul-e-tanhaa kii navaa se dil ho.njaagne vaale isii baa.ng-e-daraa se dil ho.nya.anii phir zinda na.e ahd-e-vafaa se dil ho.nphir isii baada-e-dairiina ke pyaase dil ho.najamii KHum hai to kyaa mai to hijaazii hai miriinaGma hindii hai to kyaa lai to hijaazii hai mirii
tumhaarii arjumand ammii ko mai.n bhuulaa bahut din me.nmai.n un kii rang kii taskiin se nimTaa bahut din me.nvahii to hai.n jinho.n ne mujh ko paiham rang thukvaayaavo kis rag kaa lahuu hai jo miyaa.n mai.n ne nahii.n thuukaalahuu aur thuuknaa us kaa hai kaarobaar bhii meraayahii hai saakh bhii merii yahii me.aar bhii meraamai.n vo huu.n jis ne apne KHuun se mausam khilaa.e hai.nna-jaane vaqt ke kitne hii aalam aazmaa.e hai.nmai.n ik taariiKH huu.n aur merii jaane kitnii fasle.n hai.nmirii kitnii hii fare.n hai.n mirii kitnii hii asle.n hai.nhavaadis maajraa hii ham rahe hai.n ik zamaane seshadaa.ed saaneha hii ham rahe hai.n ik zamaane sehamesha se bapaa ik ja.ng hai ham us me.n qaa.em hai.nhamaarii ja.ng KHair o shar ke bistar kii hai zaa.idaye charKH-e-jabr ke davvaar-e-mumkin kii hai girviidala.Daa.ii ke liye maidaan aur lashkar nahii.n laazimsinaan o gurz o shamshiir o tabar KHanjar nahii.n laazimbas ik ehsaas laazim hai ki ham bu.adain hai.n dono.nki nafi-e-ain-e-ain o sar-ba-sar ziddain hai.n dono.nluis-urbina ne merii ajab kuchh Gam-gusaarii kiiba-sad dil daanishii guzraan apnii mujh pe taarii kiibahut us ne pilaa.ii aur piine hii na dii mujh kopalak tak us ne marne ke liye jiine na dii mujh ko''mai.n tere ishq me.n ranjiida huu.n haa.n ab bhii kuchh kuchh huu.nmujhe terii KHayaanat ne Gazab majruuh kar Daalaamagar taish-e-shadiidaana ke baa'd aaKHir zamaane me.nrazaa kii jaavidaana jabr kii naubat bhii aa pahu.nchii''
jii chaahtaa hai ik duusre ko yuu.n aaTh pahar ham yaad kare.naa.ankho.n me.n basaa.e.n KHvaabo.n ko aur dil me.n KHayaal aabaad kare.nKHalvat me.n bhii ho jalvat kaa samaa.n vahdat ko du.ii se shaad kare.n
daliil-e-sub.h-e-raushan hai sitaaro.n kii tunuk-taabiiufuq se aaftaab ubhraa gayaa daur-e-giraa.n-KHvaabiiuruuq-murda-e-mashriq me.n KHuun-e-zindagii dau.Daasamajh sakte nahii.n is raaz ko siinaa o faaraabiimusalmaa.n ko musalmaa.n kar diyaa tuufaan-e-maGrib netalaatum-haa-e-dariyaa hii se hai gauhar kii sairaabiiataa momin ko phir dargaah-e-haq se hone vaalaa haishikoh-e-turkamaanii zehn hindii nutq aaraabiiasar kuchh KHvaab kaa Guncho.n me.n baaqii hai tuu ai bulbulnavaa-raa talKH-tarmii zan chuu zauq-e-naGma kam-yaabiita.Dap sehn-e-chaman me.n aashiyaa.n me.n shaaKH-saaro.n me.njudaa paare se ho saktii nahii.n taqdiir-e-siimaabiivo chashm-e-paak hai.n kyuu.n ziinat-e-bar-gustavaa.n dekhenazar aatii hai jis ko mard-e-Gaazii kii jigar-taabiizamiir-e-laala me.n raushan charaaG-e-aarzuu kar dechaman ke zarre zarre ko shahiid-e-justujuu kar desarishk-e-chashm-e-muslim me.n hai naisaa.n kaa asar paidaaKHaliilullaah ke dariyaa me.n ho.nge phir guhar paidaakitaab-e-millat-e-baizaa kii phir shiiraaza-bandii haiye shaaKH-e-haashmii karne ko hai phir barg-o-bar paidaarabuud aa.n turk shiiraazii dil-e-tabrez-o-kaabul raasabaa kartii hai buu-e-gul se apnaa ham-safar paidaaagar usmaaniyo.n par koh-e-Gam TuuTaa to kyaa Gam haiki KHuun-e-sad-hazaar-anjum se hotii hai sahar paidaajahaa.nbaanii se hai dushvaar-tar kaar-e-jahaa.n-biiniijigar KHuu.n ho to chashm-e-dil me.n hotii hai nazar paidaahazaaro.n saal nargis apnii be-nuurii pe rotii haiba.Dii mushkil se hotaa hai chaman me.n diida-var paidaanavaa-pairaa ho ai bulbul ki ho tere tarannum sekabuutar ke tan-e-naazuk me.n shaahii.n kaa jigar paidaatire siine me.n hai poshiida raaz-e-zindagii kah demusalmaa.n se hadiis-e-soz-o-saaz-e-zindagii kah deKHudaa-e-lam-yazal kaa dast-e-qudrat tuu zabaa.n tuu haiyaqii.n paidaa kar ai Gaafil ki maGluub-e-gumaa.n tuu haipare hai charKH-e-niilii-faam se manzil musalmaa.n kiisitaare jis kii gard-e-raah ho.n vo kaarvaa.n to haimakaa.n faanii makii.n faanii azal teraa abad teraaKHudaa kaa aaKHirii paiGaam hai tuu jaavedaa.n tuu haiHinaa-band-e-uruus-e-laala hai KHuun-e-jigar teraatirii nisbat baraahiimii hai memaar-e-jahaa.n tuu haitirii fitrat amii.n hai mumkinaat-e-zindagaanii kiijahaa.n ke jauhar-e-muzmar kaa goyaa imtihaa.n to haijahaan-e-aab-o-gil se aalam-e-jaaved kii KHaatirnubuvvat saath jis ko le ga.ii vo armuGaa.n tuu haiye nukta sarguzisht-e-millat-e-baizaa se hai paidaaki aqvaam-e-zamiin-e-asia kaa paasbaa.n tuu haisabaq phir pa.Dh sadaaqat kaa adaalat kaa shujaa.at kaaliyaa jaa.egaa tujh se kaam duniyaa kii imaamat kaayahii maqsuud-e-fitrat hai yahii ramz-e-musalmaaniiuKHuvvat kii jahaa.ngiirii mohabbat kii faraavaaniibutaan-e-ra.ng-o-KHuu.n ko to.D kar millat me.n gum ho jaana tuuraanii rahe baaqii na iiraanii na afGaaniimiyaan-e-shaaKH-saaraa.n sohbat-e-murG-e-chaman kab taktire baazuu me.n hai parvaaz-e-shaahiin-e-qahastaaniigumaa.n-aabaad hastii me.n yaqii.n mard-e-musalmaa.n kaabayaabaa.n kii shab-e-taariik me.n qindiil-e-rohbaaniimiTaayaa qaisar o kisraa ke istibdaad ko jis nevo kyaa thaa zor-e-haidar faqr-e-buu-zar sidq-e-salmaaniihu.e ahraar-e-millat jaada-paimaa kis tajammul setamaashaa.ii shigaaf-e-dar se hai.n sadiyo.n ke zindaaniisabaat-e-zindagii iimaan-e-mohkam se hai duniyaa me.nki almaanii se bhii paa.enda-tar niklaa hai tuuraaniijab is a.ngaara-e-KHaakii me.n hotaa hai yaqii.n paidaato kar letaa hai ye baal-o-par-e-ruuh-ul-amii.n paidaaGulaamii me.n na kaam aatii hai.n shamshiire.n na tadbiire.njo ho zauq-e-yaqii.n paidaa to kaT jaatii hai.n zanjiire.nko.ii andaaza kar saktaa hai us ke zor-e-baazuu kaanigaah-e-mard-e-momin se badal jaatii hai.n taqdiire.nvilaayat paadshaahii ilm-e-ashiyaa kii jahaa.ngiiriiye sab kyaa hai.n faqat ik nukta-e-iimaa.n kii tafsiire.nbaraahiimii nazar paidaa magar mushkil se hotii haihavas chhup chhup ke siino.n me.n banaa letii hai tasviire.ntamiiz-e-bandaa-o-aaqaa fasaad-e-aadmiyat haihazar ai chiira-dastaa.n saKHt hai.n fitrat kii ta.aziire.nhaqiiqat ek hai har shai kii KHaakii ho ki nuurii holahuu KHurshiid kaa Tapke agar zarre kaa dil chiire.nyaqii.n mohkam amal paiham mohabbat faatah-e-aalamjihaad-e-zindagaanii me.n hai.n ye mardo.n kii shamshiire.nche baayad mard raa tab-e-buland mashrab-e-naabedil-e-garme nigaah-e-paak-biine jaan-e-betaabeuqaabii shaan se jhapTe the jo be-baal-o-par niklesitaare shaam ke KHuun-e-shafaq me.n Duub kar niklehu.e madfuun-e-dariyaa zer-e-dariyaa tairne vaaletamaa.nche mauj ke khaate the jo ban kar guhar nikleGubaar-e-rahguzar hai.n kiimiyaa par naaz thaa jin kojabiine.n KHaak par rakhte the jo iksiir-gar niklehamaaraa narm-rau qaasid payaam-e-zindagii laayaaKHabar detii thii.n jin ko bijliyaa.n vo be-KHabar nikleharam rusvaa hu.aa piir-e-haram kii kam-nigaahii sejavaanaan-e-tataarii kis qadar saahab-nazar niklezamii.n se nuuryaan-e-aasmaa.n-parvaaz kahte theye KHaakii zinda-tar paa.enda-tar taabinda-tar niklejahaa.n me.n ahl-e-iimaa.n suurat-e-KHurshiid jiite hai.nidhar Duube udhar nikle udhar Duube idhar nikleyaqii.n afraad kaa sarmaaya-e-taamiir-e-millat haiyahii quvvat hai jo suurat-gar-e-taqdiir-e-millat haituu raaz-e-kun-fakaa.n hai apnii aa.nkho.n par ayaa.n ho jaaKHudii kaa raaz-daa.n ho jaa KHudaa kaa tarjumaa.n ho jaahavas ne kar diyaa hai Tuk.De Tuk.De nau-e-insaa.n kouKHuvvat kaa bayaa.n ho jaa mohabbat kii zabaa.n ho jaaye hindii vo KHuraasaanii ye afGaanii vo tuuraaniituu ai sharminda-e-saahil uchhal kar be-karaa.n ho jaaGubaar-aaluuda-e-ra.ng-o-nasab hai.n baal-o-par teretuu ai murG-e-haram u.Dne se pahle par-fishaa.n ho jaaKHudii me.n Duub jaa Gaafil ye sirr-e-zindagaanii hainikal kar halqa-e-shaam-o-sahar se jaavedaa.n ho jaamasaaf-e-zindagii me.n siirat-e-faulaad paidaa karshabistaan-e-mohabbat me.n hariir o parniyaa.n ho jaaguzar jaa ban ke sail-e-tund-rau koh o bayaabaa.n segulistaa.n raah me.n aa.e to juu-e-naGma-KHvaa.n ho jaatire ilm o mohabbat kii nahii.n hai intihaa ko.iinahii.n hai tujh se ba.Dh kar saaz-e-fitrat me.n navaa ko.iiabhii tak aadmii said-e-zabuun-e-shahryaarii haiqayaamat hai ki insaa.n nau-e-insaa.n kaa shikaarii hainazar ko KHiira kartii hai chamak tahziib-e-haazir kiiye sannaa.ii magar jhuuTe niguu.n kii reza-kaarii haivo hikmat naaz thaa jis par KHirad-mandaan-e-maGrib kohavas ke panja-e-KHuunii.n me.n teG-e-kaar-zaarii haitadabbur kii fusuu.n-kaarii se mohkam ho nahii.n saktaajahaa.n me.n jis tamaddun kii binaa sarmaaya-daarii haiamal se zindagii bantii hai jannat bhii jahannam bhiiye KHaakii apnii fitrat me.n na nuurii hai na naarii haiKHarosh-aamoz bulbul ho girah Gunche kii vaa kar deki tuu is gulsitaa.n ke vaaste baad-e-bahaarii haiphir uTThii asia ke dil se chi.ngaarii mohabbat kiizamii.n jaulaa.n-gah-e-atlas qabaayaan-e-tataarii haibayaa paidaa KHariidaa raast jaan-e-naa-tavaan-e-raapas az muddat guzaar uftaad barmaa kaarvaane raabayaa saaqii navaa-e-murG-zaar az shaaKH-saar aamadbahaar aamad nigaar aamad nigaar aamad qaraar aamadkashiid abr-e-bahaarii KHema andar vaadii o sahraasadaa-e-aabshaaraa.n az faraaz-e-koh-saar aamadsarat gardam toham qaanuun peshii.n saaz dah saaqiiki KHail-e-naGma-pardaazaa.n qataar andar qataar aamadkanaar az zaahidaa.n bar-giir o bebaakaana saaGar-kashpas az muddat azii.n shaaKH-e-kuhan baa.ng-e-hazaar aamadba-mushtaaqaa.n hadiis-e-KHvaajaa-e-badro hunain aavartasarruf-haa-e-pinhaanash ba-chashm-e-aashkaar aamaddigar shaaKH-e-KHaliil az KHuun-e-maa namnaak mii gardadba-baazaar-e-mohabbat naqd-e-maa kaamil ayyaar aamadsar-e-KHaak-e-shahiire barg-haa-e-laala mii paashamki KHuunash baa-nihaal-e-millat-e-maa saazgaar aamadbayaa taa-gul baa-afmaishaaniim o mai dar saaGar andaazemfalak raa saqf ba-shagaafem o tarh-e-diigar andaazem
gar ishq kiyaa hai tab kyaa hai kyuu.n shaad nahii.n aabaad nahii.njo jaan liye bin Tal na sake ye aisii bhii uftaad nahii.nye baat to tum bhii maanoge vo 'qais' nahii.n farhaad nahii.nkyaa hijr kaa daaruu mushkil hai kyaa vasl ke nusKHe yaad nahii.nye baate.n jhuuTii baate.n hai.n ye logo.n ne phailaa.ii hai.ntum 'inshaa'-jii kaa naam na lo kyaa 'inshaa'-jii saudaa.ii hai.n
vo kitaab-e-husn vo ilm o adab kii taalibavo mohazzab vo mu.addab vo muqaddas raahibakis qadar pairaaya parvar aur kitnii saada-kaarkis qadar sanjiida o KHaamosh kitnii baa-vaqaargesu-e-pur-KHam savaad-e-dosh tak pahu.nche hu.eaur kuchh bikhre hu.e uljhe hu.e simTe hu.era.ng me.n us ke azaab-e-KHiirgii shaamil nahii.nkaif-e-ehsaasaat kii afsurdagii shaamil nahii.nvo mire aate hii us kii nukta-parvar KHaamushiijaise ko.ii huur ban jaa.e yakaayak falsafiimujh pe kyaa KHud apnii fitrat par bhii vo khultii nahii.naisii pur-asraar la.Dkii mai.n ne dekhii hii nahii.nduKHtaraan-e-shahr kii hotii hai jab mahfil kahii.nvo ta.aaruf ke liye aage kabhii ba.Dhtii nahii.n
shaayad ki inhii.n Tuk.Do.n me.n kahii.nvo saaGar-e-dil hai jis me.n kabhiisad-naaz se utraa kartii thiisahbaa-e-Gam-e-jaanaa.n kii parii
jo jism kaa ii.ndhan thaagulnaar kiyaa ham nevo zahr ki amrit thaajii bhar ke piyaa ham nesau zaKHm ubhar aa.ejab dil ko siyaa ham nekyaa kyaa na mohabbat kiikyaa kyaa na jiyaa ham nelo kuuch kiyaa ghar selo jog liyaa ham nejo kuchh thaa diyaa ham neaur dil se kahaa ham neruknaa nahii.n darveshaayuu.n hai ki safar apnaathaa KHvaab na afsaanaaa.nkho.n me.n abhii tak haifardaa kaa parii-KHaanasad-shukr salaamat haipindaar-e-faqiiraanais shahr-e-KHamoshii me.nphir naara-e-mastaanaai himmat-e-mardaanasad-KHaaraa-o-yak-teshaai ishq-e-junuu.n-peshaai ishq-e-junuu.n-pesha
mire ayyaash lamho.n kii fusuu.n-gar pur-junuunii ke liyesad-lazzat aagii.n sad-karishma pur-zabonii the
KHudaa vo vaqt na laa.e ki sogvaar ho tuusakuu.n kii nii.nd tujhe bhii haraam ho jaa.etirii masarrat-e-paiham tamaam ho jaa.etirii hayaat tujhe talKH jaam ho jaa.eGamo.n se aa.iina-e-dil gudaaz ho teraahujuum-e-yaas se betaab ho ke rah jaa.evufuur-e-dard se siimaab hoke rah jaa.etiraa shabaab faqat KHvaab ho ke rah jaa.eGuruur-e-husn saraapaa niyaaz ho teraataviil raato.n me.n tuu bhii qaraar ko tarsetirii nigaah kisii Gam-gusaar ko tarseKHizaa.n-rasiida tamannaa bahaar ko tarseko.ii jabii.n na tire sa.ng-e-aastaa.n pe jhukeki jins-e-ijz-o-aqiidat se tujh ko shaad karefareb-e-vaada-e-fardaa pe e'timaad kareKHudaa vo vaqt na laa.e ki tujh ko yaad aa.evo dil ki tere liye be-qaraar ab bhii haivo aa.nkh jis ko tiraa intizaar ab bhii hai
kyuu.n meraa dil shaad nahii.n haikyuu.n KHaamosh rahaa kartaa huu.nchho.Do merii raam-kahaaniimai.n jaisaa bhii huu.n achchhaa huu.n
dil aise shahr ke paamaal ho jaane kaa manzar bhuulne me.nabhii kuchh din lage.ngejahaan-e-ra.ng ke saare KHas-o-KHaashaak sab sarv-o-sanobar bhuulne me.n abhii kuchh din lage.ngethake haare hu.e KHvaabo.n ke saahil par kahii.n ummiid kaa chhoTaa saa ik gharbante bante rah gayaa haivo ik ghar bhuulne me.n abhii kuchh din lage.ngemagar ab din bhii kitne rah ga.e hai.nbas ik din dil kii lauh-e-muntazir paraachaanakraat utregiimirii be-nuur aa.nkho.n ke KHazaane me.n chhupe har KHvaab kii takmiil kar degiimujhe bhii KHvaab me.n tabdiil kar degiiik aisaa KHvaab jas kaa dekhnaa mumkin nahii.n thaaik aisaa KHvaab jis ke daaman-e-sad-chaak me.n ko.ii mubaarak ko.ii raushan din nahii.n thaaabhii kuchh din lage.nge
vo jis kii diid me.n laakho.n masarrate.n pinhaa.nvo husn jis kii tamannaa me.n jannate.n pinhaa.nhazaar fitne tah-e-paa-e-naaz KHaak-nashii.nhar ik nigaah KHumaar-e-shabaab se ra.ngii.nshabaab jis se taKHayyul pe bijliyaa.n barse.nvaqaar jis kii rafaaqat ko shoKHiyaa.n tarse.nadaa-e-laGzish-e-paa par qayaamate.n qurbaa.nbayaaz-ruKH pe sahar kii sabaahate.n qurbaa.nsiyaah zulfo.n me.n vaarafta nik.hato.n kaa hujuumtaviil raato.n kii KHvaabiida raahato.n kaa hujuumvo aa.nkh jis ke banaav pa KHaaliq itraa.ezabaan-e-sher ko taariif karte sharm aa.evo ho.nT faiz se jin ke bahaar laala-faroshbahisht o kausar o tasniim o salsabiil ba-doshgudaaz jism qabaa jis pe saj ke naaz karedaraaz qad jise sarv-e-sahii namaaz kareGaraz vo husn jo mohtaaj-e-vasf-o-naam nahii.nvo hasan jis kaa tasavvur bashar kaa kaam nahii.nkisii zamaane me.n is rah-guzar se guzraa thaaba-sad Guruur o tajammul idhar se guzraa thaaaur ab ye raah-guzar bhii hai dil-fareb o hasii.nhai is kii KHaak me.n kaif-e-sharaab-o-sher makii.nhavaa me.n shoKHii-e-raftaar kii adaa.e.n hai.nfazaa me.n narmii-e-guftaar kii sadaa.e.n hai.nGaraz vo husn ab is rah kaa juzv-e-manzar hainiyaaz-e-ishq ko ik sajda-gah mayassar hai
jo hamaarii dastaras se rahe duur duur ab takhame.n dekhte rahe hai.n jo ba-sad Guruur ab tak
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books