SEARCH RESULTS
Showing search results for "ta.dpo"
Sher MATCHES FOR "ta.dpo"
Sher
muKHtasar ye hai hamaarii daastaan-e-zindagii
ik sukuun-e-dil kii KHaatir umr bhar ta.Dpaa kiye
Moin Ahsan Jazbi
Sher
rago.n me.n zahr-e-KHamoshii utarne se zaraa pahle
bahut ta.Dpii ko.ii aavaaz marne se zaraa pahle
Khushbir Singh Shaad
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
Asrarul Haq Majaz
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
kaam aaKHir jazba-e-be-iKHtiyaar aa hii gayaa
dil kuchh is suurat se ta.Dpaa un ko pyaar aa hii gayaa
Jigar Moradabadi
Sher
mujh se irshaad ye hotaa hai ki ta.Dpaa na karo
kuchh tumhe.n apnii adaa.o.n pe nazar hai ki nahii.n
Jaleel Manikpuri
Sher
zamaana bar-sar-e-aazaar thaa magar 'faanii'
ta.Dap ke ham ne bhii ta.Dpaa diyaa zamaane ko
Fani Badayuni
Sher
ishq kii betaabiyo.n par husn ko rahm aa gayaa
jab nigaah-e-shauq ta.Dpii parda-e-mahmil na thaa
Asghar Gondvi
Sher
sifaarish ham-damo.n kii un kaa jaate vaqt ye kahnaa
ki jab ta.Dpe mirii tasviir siine se lagaa denaa
Anwari Jahan Begum Hijab
Sher
dil sadaa ta.Dpe hai meraa murG-e-bismil kii tarah
yaa ki siikhii murG-e-bismil ne mire dil kii tarah
Roy Sarb Sukh Diwana
Sher
haa.e 'taalib' dekhne ko us kii suurat ke liye
murG-e-dil ta.Dpe hai kaisaa u.D ke milnaa chaahiye