SEARCH RESULTS
Showing search results for "taaviil"
Sher MATCHES FOR "taaviil"
Sher
mai.n mai-kade kii raah se ho kar nikal gayaa
varna safar hayaat kaa kaafii taviil thaa
Abdul Hamid Adam
Sher
vo KHush-kalaam hai aisaa ki us ke paas hame.n
taviil rahnaa bhii lagtaa hai muKHtasar rahnaa
Wazir Agha
Sher
mohabbat baa.nTanaa siikho mohabbat hai ataa rab kii
mohabbat baa.nTne vaale taviil-ul-umr hote hai.n
Bashir Mehtaab
Sher
Gam-e-firaaq ko siine se lag ke sone do
shab-e-taviil kii hogii sahar kabhii na kabhii
Karamat Ali Karamat
Sher
ik qissa-e-taviil hai afsaana dasht kaa
aaKHir kahii.n to KHatm ho viiraana dasht kaa
Hasan Aziz
Sher
us bevafaa se kar ke vafaa mar-miTaa 'razaa'
ik qissa-e-taviil kaa ye iKHtisaar hai
Aal-e-Raza Raza
Sher
na puuchh kaise guzartii hai zindagii ai dost
ba.Dii taviil kahaanii hai phir kabhii ai dost
Sadiq-ul-Qadri
Sher
kaTtaa kahaa.n taviil thaa raato.n kaa silsila
suuraj mirii nigaah kii sachchaa.iyo.n me.n thaa
Ada Jafarey
Sher
ba.Dii taviil hai 'mahshar' kisii ke hijr kii baat
ko.ii Gazal hii sunaa.o ki nii.nd aa jaa.e
Mahshar Inayati
Sher
safar taviil sahii haasil-e-safar ye hai
vahaa.n ko bhuul ga.e aur yahaa.n ko pahchaanaa
Wazir Agha
Sher
tumhaare dard se le kar hamaare aa.nsuu tak
ba.Dii taviil kahaanii hai aag paanii kii
Shakeel Azmi
Sher
is baar raah-e-ishq kuchh itnii taviil thii
us ke badan se ho ke guzarnaa pa.Daa mujhe
Ameer Imam
Sher
maraa hu.aa mai.n vo kirdaar huu.n kahaanii kaa
jo jii rahaa hai kahaanii taviil karte hu.e
Alok Mishra
Sher
puuchho zaraa ye chaa.nd se kaise sahar hu.ii
itnii taviil raat bhii kaise basar hu.ii
Farah Shahid
Sher
bahut taviil mirii daastaan-e-Gam thii magar
Gazal se kaam liyaa muKHtasar banaane kaa
Saleem Ahmed
Sher
kitnii taviil kyuu.n na ho baatil kii zindagii
har raat kaa hai sub.h muqaddar na bhuulnaa
Ajmal Ajmali
Sher
bahut taviil shab-e-Gam hai kyaa kiyaa jaa.e
umiid-e-sub.h bahut kam hai kyaa kiyaa jaa.e