SEARCH RESULTS
Showing search results for "tabr-o-teg"
Sher MATCHES FOR "tabr-o-teg"
Sher
salaam un pe tah-e-teG bhii jinho.n ne kahaa
jo teraa hukm jo terii razaa jo tuu chaahe
Majeed Amjad
Sher
hariif-e-teG-e-sitam-gar to kar diyaa hai tujhe
ab aur mujh se tuu kyaa chaahtaa hai sar mere
Irfan Siddiqi
Sher
hu.ii jin se tavaqqo KHastagii kii daad paane kii
vo ham se bhii ziyaada KHasta-e-teG-e-sitam nikle
Mirza Ghalib
Sher
ye ehtijaaj ajab hai KHilaaf-e-teG-e-sitam
zamii.n me.n jazb nahii.n ho rahaa hai KHuu.n meraa
Qamar Abbas Qamar
Sher
Shah Naseer
Sher
kartaa hai ai 'asar' dil-e-KHuu.n-gashta kaa gila
aashiq vo kyaa ki KHasta-e-teG-e-jafaa na ho
Imdad Imam Asar
Sher
lahuu hii kitnaa hai jo chashm-e-tar se niklegaa
yahaa.n bhii kaam na arz-e-hunar se niklegaa
Faza Ibn e Faizi
Sher
kyuu.n jal gayaa na taab-e-ruKH-e-yaar dekh kar
jaltaa huu.n apnii taaqat-e-diidaar dekh kar
Mirza Ghalib
Sher
Anwar Dehlvi
Sher
taab-e-nazzaara nahii.n aa.ina kyaa dekhne duu.n
aur ban jaa.e.nge tasviir jo hairaa.n ho.nge
Momin Khan Momin
Sher
apnaa har andaaz aa.nkho.n ko tar-o-taaza lagaa
kitne din ke baa'd mujh ko aa.iina achchhaa lagaa
Zehra Nigaah
Sher
kyaa khaa.e.n ham vafaa me.n ab iimaan kii qasam
jab taar-e-sub.ha rishta-e-zunnaar ho chukaa
Syed Yusuf Ali Khan Nazim
Sher
taab-e-yak-lahza kahaa.n husn-e-junuu.n-KHez ke pesh
saa.ns lene se tavajjoh me.n KHalal pa.Dtaa hai
Irfan Sattar
Sher
har-chand mirii quvvat-e-guftaar hai mahbuus
KHaamosh magar tab-e-KHud-aaraa nahii.n hotii
Sahir Ludhianvi
Sher
kuduurat nahii.n apnii tab-e-ravaa.n me.n
bahut saaf bahtaa hai dariyaa hamaaraa