SEARCH RESULTS
Showing search results for "tahalne"
Sher MATCHES FOR "tahalne"
Sher
KHamoshii se musiibat aur bhii sa.ngiin hotii hai
ta.Dap ai dil ta.Dapne se zaraa taskiin hotii hai
Shad Azimabadi
Sher
mujh ko thakne nahii.n detaa ye zaruurat kaa pahaa.D
mere bachche mujhe buu.Dhaa nahii.n hone dete
Meraj Faizabadi
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
Nazeer Akbarabadi
Sher
'Gaalib' hame.n na chhe.D ki phir josh-e-ashk se
baiThe hai.n ham tahayya-e-tuufaa.n kiye hu.e
Mirza Ghalib
Sher
kab se Tahal rahe hai.n garebaan khol kar
KHaalii ghaTaa ko kyaa kare.n barsaat bhii to ho
Adil Mansuri
Sher
hai taa-hadd-e-imkaa.n ko.ii bastii na bayaabaa.n
aa.nkho.n me.n ko.ii KHvaab dikhaa.ii nahii.n detaa
Syed Amin Ashraf
Sher
bismil ke ta.Dapne kii adaa.o.n me.n nasha thaa
mai.n haath me.n talvaar liye jhuum rahaa thaa
Adil Mansuri
Sher
ek qabristaan me.n ghar mil rahaa hai
jis me.n tah-KHaano.n se tah-KHaane lage hai.n
Dushyant Kumar
Sher
manzile.n paa.nv paka.Dtii hai.n Thaharne ke liye
shauq kahtaa hai ki do chaar qadam aur sahii
Sahir Lakhnavi
Sher
Chakbast Braj Narayan
Sher
tere naam kaa taaraa jaane kab dikhaa.ii de
ik jhalak kii KHaatir ham raat bhar Tahalte hai.n
Bashir Saifi
Sher
tanhaa.ii kii ye kaun sii manzil hai rafiiqo
taa-hadd-e-nazar ek bayaabaan saa kyuu.n hai
Shahryar
Sher
ashko.n ke Tapakne par tasdiiq hu.ii us kii
be-shak vo nahii.n uThte aa.nkho.n se jo girte hai.n
Nooh Narvi
Sher
na ta.Dapne kii ijaazat hai na fariyaad kii hai
ghuT ke mar jaa.uu.n ye marzii mire sayyaad kii hai