SEARCH RESULTS
Showing search results for "tahqeeq"
Sher MATCHES FOR "tahqeeq"
Sher
haadse apne tariiqo.n se guzarte hii rahe
kyo.n hu.aa aisaa ye ham tahqiiq karte hii rahe
Akbar Allahabadi
Sher
tahqiiq kii nazar sii.n aaKHir kuu.n ham ne dekhaa
akasr hai.n maal vaale kam hai.n kamaal vaale
Siraj Aurangabadi
Sher
na.ii tahqiiq ne qatro.n se nikaale dariyaa
ham ne dekhaa hai ki zarro.n se zamaane nikle
Akmal Imaam
Sher
kartaa rahaa luGaat kii tahqiiq umr bhar
a.amaal-naama nusKHa-e-farha.ng ho gayaa
Muneer Shikohabadi
Sher
faanii-e-ishq kuu.n tahqiiq ki hastii hai kufr
dam-ba-dam ziist ne.n merii mujhe zunnaar diyaa
Abroo Shah Mubarak
Sher
teraa chup rahnaa mire zehn me.n kyaa baiTh gayaa
itnii aavaaze.n tujhe dii.n ki galaa baiTh gayaa
Tahzeeb Hafi
Sher
ye ek baat samajhne me.n raat ho ga.ii hai
mai.n us se jiit gayaa huu.n ki maat ho ga.ii hai
Tahzeeb Hafi
Sher
apnii mastii me.n bahtaa dariyaa huu.n
mai.n kinaara bhii huu.n bha.nvar bhii huu.n
Tahzeeb Hafi
Sher
ishq me.n tahziib ke hai.n aur hii kuchh falsafe
tujh se ho kar ham KHafaa KHud se KHafaa rahne lage
Alam Khursheed
Sher
vo jis kii chhaa.nv me.n pachchiis saal guzre hai.n
vo pe.D mujh se ko.ii baat kyuu.n nahii.n kartaa
Tahzeeb Hafi
Sher
tahriir se varna mirii kyaa ho nahii.n saktaa
ik tuu hai jo lafzo.n me.n adaa ho nahii.n saktaa
Waseem Barelvi
Sher
bataa ai abr musaavaat kyuu.n nahii.n kartaa
hamaare gaa.nv me.n barsaat kyuu.n nahii.n kartaa