SEARCH RESULTS
Showing search results for "tahriik"
Sher MATCHES FOR "tahriik"
Sher
Zeb Ghauri
Sher
jab Gunche ko vaashud hu.ii tahriik sabaa se
bulbul se ajab kyaa jo kare naGma-saraa.ii
Ismail Merathi
Sher
yuu.n tirii chaap se tahriik-e-safar TuuTtii hai
jaise palko.n ke jhapakne se nazar TuuTtii hai
Saleem Siddiqui
Sher
Hami Gorakhpuri
Sher
jin ke kirdaar se aatii ho sadaaqat kii mahak
un kii tadriis se patthar bhii pighal sakte hai.n
Unknown
Sher
tahriir se varna mirii kyaa ho nahii.n saktaa
ik tuu hai jo lafzo.n me.n adaa ho nahii.n saktaa
Waseem Barelvi
Sher
dekhaa nahii.n vo chaa.nd saa chehraa ka.ii din se
taariik nazar aatii hai duniyaa ka.ii din se
Junaid Hazin Lari
Sher
varaq varaq tujhe tahriir kartaa rahtaa huu.n
mai.n zindagii tirii tash.hiir kartaa rahtaa huu.n
Raeesuddin Raees
Sher
zamiin itnii nahii.n hai ki paa.nv rakh paa.e.n
dil-e-KHaraab kii zid hai ki ghar banaayaa jaa.e
Tariq Naeem
Sher
aa.nkh rakhte ho to us aa.nkh kii tahriir pa.Dho
mu.nh se iqraar na karnaa to hai aadat us kii
Shahzad Ahmad
Sher
umr bhar likhte rahe phir bhii varaq saada rahaa
jaane kyaa lafz the jo ham se na tahriir hu.e
Sabir Zafar
Sher
ko.ii shikva na shikaayat na vazaahat ko.ii
mez se bas mirii tasviir haTaa dii us ne
Tariq Qamar
Sher
tafriiq husn-o-ishq ke andaaz me.n na ho
lafzo.n me.n farq ho magar aavaaz me.n na ho
Manzar Lakhnavi
Sher
Tabish Kanpuri
Sher
ek kiran bas raushniyo.n me.n shariik nahii.n hotii
dil ke bujhne se duniyaa taariik nahii.n hotii