SEARCH RESULTS
Showing search results for "tajdiid-e-iltifaat"
Sher MATCHES FOR "tajdiid-e-iltifaat"
Sher
ravaa.n hai qaafila-e-ruuh-e-iltifaat abhii
hamaarii raah se haT jaa.e kaa.enaat abhii
Saba Akbarabadi
Sher
iz.haar-e-Gam kiyaa thaa ba-ummiid-e-iltifaat
kyaa puuchhte ho kitnii nadaamat hai aaj tak
Habeeb Ahmad Siddiqui
Sher
is shahar kaa dastuur hai rishto.n kaa bhulaanaa
tajdiid-e-maraasim ke liye haath na baa.ndhuu.n
Muzaffar Eraj
Sher
aa.o tajdiid-e-vafaa phir se kare.n ham varna
baat kuchh aur ulajh jaa.egii suljhaane se
Naseer Arzoo
Sher
ye alag baat ki tajdiid-e-ta.alluq na hu.aa
par use bhuulnaa chaahuu.n to zamaane lag jaa.e.n
Ahmad Ashfaq
Sher
tajdiid-e-zindagii ke ishaare hu.e to hai.n
kuchh pal sahii vo aaj hamaare hu.e to hai.n
Ameeta Parsuram Meeta
Sher
vaaqif hai.n KHuub aap ke tarz-e-jafaa se ham
iz.haar-e-iltifaat kii zahmat na kiijiye
Hasrat Mohani
Sher
ai iltifaat-e-yaar mujhe sochne to de
marne kaa hai maqaam yaa jiine kaa mahal
Syed Aabid Ali Aabid
Sher
ab to miraa shabaab KHizaa.o.n kii nazr hai
ab chashm-e-iltifaat kisii kaam kii nahii.n
Abdullah Saqib
Sher
Firaq Gorakhpuri
Sher
ye kis KHataa pe ruuTh ga.ii chashm-e-iltifaat
ye kab kaa intiqaam liyaa mujh Gariib se
Shakeel Badayuni
Sher
ai chashm-e-iltifaat ke maare hu.e sambhal
ye husn-e-ittifaaq hai husn-e-nazar nahii.n
Raqim Lakhnavi
Sher
agar vo aaj raat hadd-e-iltifaat to.D de
kabhii phir us se pyaar kaa KHayaal bhii na aa.egaa
Yaqoob Yawar
Sher
baa.ndhaa thaa KHud hii aap ne paiGaam-e-iltifaat
kyaa baat thii jo aap hii KHud bad-gumaa.n hu.e