SEARCH RESULTS
Showing search results for "takaan"
Sher MATCHES FOR "takaan"
Sher
qadmo.n me.n bhii takaan thii ghar bhii qariib thaa
par kyaa kare.n ki ab ke safar hii ajiib thaa
Parveen Shakir
Sher
agar ho.n goyaa to phir be-takaan bolte hai.n
magar ye log lahuu kii zabaan bolte hai.n
Ahmad Husain Mujahid
Sher
tamaam din kii mashaqqat-bharii takaan ke ba.ad
tamaam raat mohabbat se phir jagaa.uu.n use
Ashhad Bilal Ibn-e-chaman
Sher
dil se jo baat nikaltii hai asar rakhtii hai
par nahii.n taaqat-e-parvaaz magar rakhtii hai
Allama Iqbal
Sher
dil ke phaphuule jal uThe siine ke daaG se
is ghar ko aag lag ga.ii ghar ke charaaG se
Mahtab Rai Taban
Sher
Firaq Gorakhpuri
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
din bhar kii mashaqqat se badan chuur hai lekin
maa.n ne mujhe dekhaa to thakan bhuul ga.ii hai
Munawwar Rana
Sher
shikast o fat.h miyaa.n ittifaaq hai lekin
muqaabla to dil-e-naa-tavaa.n ne KHuub kiyaa
Navab Mohammad Yar Khan Ameer
Sher
Ada Jafarey
Sher
aashiq ko dekhte hai.n dupaTTe ko taan kar
dete hai.n ham ko sharbat-e-diidaar chhaan kar
Meer Anees
Sher
Seemab Akbarabadi
Sher
kyuu.n jal gayaa na taab-e-ruKH-e-yaar dekh kar
jaltaa huu.n apnii taaqat-e-diidaar dekh kar
Mirza Ghalib
Sher
kis kis tarah kii dil me.n guzartii hai.n hasrate.n
hai vasl se ziyaada mazaa intizaar kaa
Taban Abdul Hai
Sher
kaun taaqo.n pe rahaa kaun sar-e-raahguzar
shahr ke saare charaaGo.n ko havaa jaantii hai
Ahmad Faraz
Sher
thakan se chuur hai saaraa vajuud ab meraa
mai.n bojh itne Gamo.n kaa to Dho nahii.n saktaa