SEARCH RESULTS
Showing search results for "takiye"
Sher MATCHES FOR "takiye"
Sher
Ghulam Mohammad Qasir
Sher
kahne vaalaa KHud to sar takiye pe rakh kar so gayaa
merii be-chaarii kahaanii raat bhar rotii rahii
Aziz Bano Darab Wafa
Sher
mujhe ka.Dhe hu.e takiye kii kyaa zaruurat hai
kisii kaa haath abhii mere sar ke niiche hai
Munawwar Rana
Sher
aatish-kade me.n thaa mire alfaaz kaa dhu.aa.n
takiye me.n us ke mere kabuutar ke par mile
Miraash
Sher
boriye par baiThne kaa lutf hii kuchh aur hai
shahryaar-e-asr is takiye se kyaa le jaa.egaa
Asad Badayuni
Sher
KHvaab saare takiye pe chain kii ho.n sote nii.nd
'miir' jii ke jaisaa hii rog ham ne paalaa ho
Saeed Rahi
Sher
dil se jo baat nikaltii hai asar rakhtii hai
par nahii.n taaqat-e-parvaaz magar rakhtii hai
Allama Iqbal
Sher
Ameer Minai
Sher
baaGbaa.n ne aag dii jab aashiyaane ko mire
jin pe takiya thaa vahii patte havaa dene lage
Saqib Lakhnavi
Sher
mai.n baaG me.n huu.n taalib-e-diidaar kisii kaa
gul par hai nazar dhyaan me.n ruKHsaar kisii kaa
Taashshuq Lakhnavi
Sher
kyuu.n jal gayaa na taab-e-ruKH-e-yaar dekh kar
jaltaa huu.n apnii taaqat-e-diidaar dekh kar
Mirza Ghalib
Sher
tum se ulfat ke taqaaze na nibaahe jaate
varna ham ko bhii tamannaa thii ki chaahe jaate
Shaanul Haq Haqqi
Sher
rahii na taaqat-e-guftaar aur agar ho bhii
to kis umiid pe kahiye ki aarzuu kyaa hai
Mirza Ghalib
Sher
ham taalib-e-shohrat hai.n hame.n na.ng se kyaa kaam
badnaam agar ho.nge to kyaa naam na hogaa