SEARCH RESULTS
Showing search results for "tan-badan"
Sher MATCHES FOR "tan-badan"
Sher
gar us ke or ko.ii garmii se dekhtaa hai
ik aag lag uThe hai apne to tan badan me.n
Meer Taqi Meer
Sher
ik zamaane tak badan be-KHvaab be-aadaab the
phir achaanak apnii uryaanii kaa andaaza hu.aa
Shaheen Abbas
Sher
jaan jab tak badan me.n hai 'faisal'
bojh kaa.ndho.n kaa kam nahii.n hotaa
Faisal Qadri Gunnauri
Sher
vo aa.ina-tan aa.iina phir kis liye dekhe
jo dekh le mu.nh apnaa har ik uzv-e-badan me.n
Munawar Khan Ghafil
Sher
dil le gayaa hai meraa vo siim-tan churaa kar
sharmaa ke jo chale hai saaraa badan churaa kar
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
lagte hii haath ke jo khii.nche hai ruuh tan se
kyaa jaane.n kyaa vo shai hai us ke badan ke andar
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
ab hai du.aa ye apnii har shaam har sahar ko
yaa vo badan se lipTe yaa jaan tan se nikle
Rajab Ali Beg Suroor
Sher
ai tan-parast jaama-e-suurat kasiif hai
bazm-e-huzuur-e-dost me.n kap.De badal ke chal
Bayan Meeruthi
Sher
yuu.n hai Dalak badan kii us pairahan kii tah me.n
surKHii badan kii jaise chhalke badan kii tah me.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
uf vo marmar se taraashaa hu.aa shaffaaf badan
dekhne vaale use taaj-mahal kahte hai.n
Qateel Shifai
Sher
be-badan ruuh bane phirte rahoge kab tak
jaa.o chupke se kisii jism me.n daaKHil ho jaa.o
Farhat Ehsas
Sher
nazar to pher mire kaaGazii badan kii taraf
abhii ye zarb-e-musalsal se taar-taar nahii.n
Arman Khan Arman
Sher
rakhtaa huu.n apnaa aap bahut khii.nch-taan kar
chhoTaa huu.n aur KHud ko ba.Daa karne aayaa huu.n