SEARCH RESULTS
Showing search results for "tane"
Sher MATCHES FOR "tane"
Sher
hazaar ta.ane sunegaa KHajil nahii.n hogaa
ye vo hujuum hai jo mushta.il nahii.n hogaa
Abid Malik
Sher
ashko.n ke tasalsul ne chhupaayaa tan-e-uryaa.n
ye aab-e-ravaa.n kaa hai nayaa pairahan apnaa
Nazeer Akbarabadi
Sher
ronaa hai ye ki aap bhii ha.nste the varna yaa.n
ta.an-e-raqiib dil pe kuchh aisaa giraa.n na thaa
Altaf Hussain Hali
Sher
KHushk sero.n tan-e-shaa.er kaa lahuu hotaa hai
tab nazar aatii hai ik misra-e-tar kii suurat
Ameer Minai
Sher
ulTe vo shikve karte hai.n aur kis adaa ke saath
be-taaqatii ke ta.ane hai.n uzr-e-jafaa ke saath
Momin Khan Momin
Sher
Vijay Sharma
Sher
naav kaaGaz kii tan-e-KHaakii-e-insaa.n samjho
Garq ho jaa.e.ngii chhii.nTaa jo pa.Daa paanii kaa
Kalb-e-husain Nadir
Sher
aaKHir ik roz utarnii hai libaado.n kii tarah
tan-e-malbuus! ye pahnii hu.ii uryaanii bhii
Saud Usmani
Sher
Akhtar Hoshiyarpuri
Sher
us lab-e-baam se ai sarsar-e-furqat tuu bataa
misl tinke ke miraa ye tan-e-laaGar phe.nkaa
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
Sher
dal-badal jitne hai.n kahte hai.n ye siina taane
ham hai.n 'Gaalib' ke taraf-daar chanaa jor garam
Asrar jamayee
Sher
ta.ng aa chuke hai.n kashmakash-e-zindagii se ham
Thukraa na de.n jahaa.n ko kahii.n be-dilii se ham
Sahir Ludhianvi
Sher
Bashir Badr
Sher
bhaa.np hii le.nge ishaara sar-e-mahfil jo kiyaa
taa.Dne vaale qayaamat kii nazar rakhte hai.n
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
ek lamhe me.n bikhar jaataa hai taanaa-baanaa
aur phir umr guzar jaatii hai yakjaa.ii me.n