SEARCH RESULTS
Showing search results for "tangii-e-ma.aash"
Sher MATCHES FOR "tangii-e-ma.aash"
Sher
ruk jaa hujuum-e-gul ki abhii hausla nahii.n
dil se KHayaal-e-ta.ngii-e-daamaa.n gayaa nahii.n
Zehra Nigaah
Sher
ta.ngii-e-hai.at se Takraataa hu.aa josh-e-mavaad
shaa.erii kaa lutf aa jaataa hai chhoTii bahr me.n
Shuja Khaavar
Sher
tangii-e-aish me.n mumkin nahii.n tark-e-lazzat
suukhe Tuk.De bhii to faaqo.n me.n mazaa dete hai.n
Mirza Hadi Ruswa
Sher
ta.ngi-e-dil kaa gila kyaa ye vo kaafir-dil hai
ki agar ta.ng na hotaa to pareshaa.n hotaa
Mirza Ghalib
Sher
fikr-e-ma.aash ishq-e-butaa.n yaad-e-raftagaa.n
is zindagii me.n ab ko.ii kyaa kyaa kiyaa kare
Mohammad Rafi Sauda
Sher
fikr-e-ma.aash maatam-e-dil aur KHayaal-e-yaar
tum sab se ma.azarat ki tabii.at udaas hai
Javed Iqbal
Sher
fikr-e-ma.aash o ishq-e-butaa.n yaad-e-raftagaa.n
in mushkilo.n se ahd-bar.aa.ii na ho sakii
Tilok Chand Mahroom
Sher
Shakeel Badayuni
Sher
rozii-rasaa.n KHudaa hai fikr-e-ma.aash mat kar
is KHaar kaa tuu dil me.n KHauf-e-KHaraash mat kar
Meer Mohammadi Bedar
Sher
fikr-e-suKHan talaash-e-ma.aash o KHayaal-e-yaar
Gam kam hu.aa to haa.n dil-e-be-Gam se hovegaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Ibn۔e۔Insha
Sher
bahlaa na dil na tiirgii-e-shaam-e-Gam ga.ii
ye jaantaa to aag lagaataa na ghar ko mai.n
Fani Badayuni
Sher
unhii.n se taazgii-e-zehn hai nasiib mujhe
gulaab chehre hamesha nazar me.n rahte hai.n