SEARCH RESULTS
Showing search results for "taqaazaa-e-aah"
Sher MATCHES FOR "taqaazaa-e-aah"
Sher
ham jaante hai.n lutf-e-taqaazaa-e-mai-farosh
vo naqd me.n kahaa.n jo mazaa hai udhaar me.n
Riyaz Khairabadi
Sher
gardish-e-miinaa-o-jaam dekhiye kab tak rahe
ham pe taqaazaa-e-haraam dekhiye kab tak rahe
Zehra Nigaah
Sher
hai ashk-o-aah raas hamaare mizaaj ko
ya.anii pale hu.e isii aab-o-havaa ke hai.n
Ismail Merathi
Sher
na KHauf-e-aah buto.n ko na Dar hai naalo.n kaa
ba.Daa kaleja hai in dil dukhaane vaalo.n kaa
Jalal Lakhnavi
Sher
is ashk o aah me.n saudaa biga.D na jaa.e kahii.n
ye dil kuchh aab-rasiida hai kuchh jalaa bhii hai
Inamullah Khan Yaqeen
Sher
biich me.n hai mere us ke tuu hii ai aah-e-hazii.n
sulh kyuu.nkar hove jab tak darmiyaa.n ko.ii na ho
Zain-ul-Abideen Khan Arif
Sher
bait-bahsii na kar ai faaKHta gulshan me.n ki aaj
misra-e-sarv se mauzuu.n hai miraa misra-e-aah
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
Nazeer Akbarabadi
Sher
duud-e-aah-e-jigarii kaam na aayaa yaaro
varna ruu-e-shab-e-hijr aur bhii kaalaa kartaa
Shah Naseer
Sher
raas aa.e tum ko mulk-e-ishq kii aab-o-havaa
aashiqo har-vaqt shaGl-e-aah-o-zaarii chaahiye
Rasheed Lakhnavi
Sher
Faiz Ahmad Faiz
Sher
kitnii naadiida bahaaro.n kii tamannaa-e-javaa.n
daaman-e-jaa.n me.n mire aag lagaa detii hai
Hanif Fauq
Sher
pataa nahii.n ye tamannaa-e-qurb kab jaagii
mujhe to sirf use sochne kii aadat thii
Shariq Kaifi
Sher
taKHta-e-daar pe chaahe jise laTkaa diije
itne logo.n me.n gunaahgaar ko.ii to hogaa
Shahzad Ahmad
Sher
bas ek pal kii tamannaa-e-vasl kii KHaatir
tamaam 'umr lagaa dii ga.ii sa.nvarne me.n