SEARCH RESULTS
Showing search results for "taqaddus-e-iimaa.n"
Sher MATCHES FOR "taqaddus-e-iimaa.n"
Sher
maKHluuq ko tumhaarii mohabbat me.n ai buto
iimaan kaa KHayaal na islaam kaa lihaaz
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
ba-naam-e-amn-o-amaa.n kaun maaraa jaa.egaa
na jaane aaj yahaa.n kaun maaraa jaa.egaa
Naseem Sahar
Sher
daliil-e-taabish-e-iimaa.n hai kufr kaa ehsaas
charaaG shaam se pahle jalaa nahii.n karte
Shakeel Badayuni
Sher
daliil-e-taabish-e-iimaa.n hai kufr kaa ehsaas
charaaG shaam se pahle jalaa nahii.n karte
Shakeel Badayuni
Sher
Aziz Warsi
Sher
chalo amn-o-amaa.n hai mai-kade me.n
vahii.n kuchh pal Thahar kar dekhte hai.n
Akhtar Shahjahanpuri
Sher
zaahid ne miraa haasil-e-iimaa.n nahii.n dekhaa
ruKH par tirii zulfo.n ko pareshaa.n nahii.n dekhaa
Asghar Gondvi
Sher
fazaa ye amn-o-amaa.n kii sadaa rakhe.n qaa.em
suno ye farz tumhaaraa bhii hai hamaaraa bhii
Nusrat Mehdi
Sher
vaa.izo mai.n bhii tumhaarii hii tarah masjid me.n
bech duu.n daulat-e-iimaa.n to mazaa aa jaa.e
Syed Aabid Ali Aabid
Sher
Unknown
Sher
dekhaa zaahid ne jo us ruu-e-kitaabii ko to bas
varaq-e-kufr liyaa daftar-e-iimaan ko phaa.D
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
qulzum-e-fikr me.n hai kashtii-e-iimaa.n saalim
naa-KHudaa husn hai aur ishq hai la.ngar apnaa
Sahir Dehlavi
Sher
kufr-o-iimaa.n se hai kyaa bahs ik tamannaa chaahiye
haath me.n tasbiih ho yaa dosh par zunnaar ho
Syed Yusuf Ali Khan Nazim
Sher
shahr me.n amn-o-amaa.n ho ye zaruurii hai magar
haakim-e-vaqt ke maathe pe likhaa hii kuchh hai
Shamim Qasmi
Sher
jo dil-o-iimaa.n na de.n nazraa.n buto.n ko dekh kar
yaa KHudaa vo log is duniyaa me.n aa.e kis liye
Dattatriya Kaifi
Sher
maslahat kaa ye kafan rakhtaa hai be-daaG hame.n
ahl-e-iimaan hai.n ham-ra.ng se Dar lagtaa hai