SEARCH RESULTS
Showing search results for "taqtiir"
Sher MATCHES FOR "taqtiir"
Sher
Allama Iqbal
Sher
maktab-e-ishq kaa dastuur niraalaa dekhaa
us ko chhuTTii na mile jis ko sabaq yaad rahe
Meer Tahir Ali Rizvi
Sher
ai taa.ir-e-laahautii us rizq se maut achchhii
jis rizq se aatii ho parvaaz me.n kotaahii
Allama Iqbal
Sher
jin se insaa.n ko pahu.nchtii hai hamesha takliif
un kaa da.avaa hai ki vo asl KHudaa vaale hai.n
Abdul Hamid Adam
Sher
takliif miT ga.ii magar ehsaas rah gayaa
KHush huu.n ki kuchh na kuchh to mire paas rah gayaa
Abdul Hamid Adam
Sher
ai 'zauq' takalluf me.n hai takliif saraasar
aaraam me.n hai vo jo takalluf nahii.n kartaa
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
kho diyaa tum ko to ham puuchhte phirte hai.n yahii
jis kii taqdiir biga.D jaa.e vo kartaa kyaa hai
Firaq Gorakhpuri
Sher
aziiz-tar mujhe rakhtaa hai vo rag-e-jaa.n se
ye baat sach hai miraa baap kam nahii.n maa.n se
Tahir Shaheer
Sher
coat aur patluun jab pahnaa to mister ban gayaa
jab ko.ii taqriir kii jalse me.n leader ban gayaa
Akbar Allahabadi
Sher
tahriir se varna mirii kyaa ho nahii.n saktaa
ik tuu hai jo lafzo.n me.n adaa ho nahii.n saktaa
Waseem Barelvi
Sher
bosa-e-ruKHsaar par takraar rahne diijiye
liijiye yaa diijiye inkaar rahne diijiye
Hafeez Jaunpuri
Sher
Amjad Islam Amjad
Sher
varaq varaq tujhe tahriir kartaa rahtaa huu.n
mai.n zindagii tirii tash.hiir kartaa rahtaa huu.n