SEARCH RESULTS
Showing search results for "taraashe"
Sher MATCHES FOR "taraashe"
Sher
kitne haatho.n ne taraashe ye hasii.n taaj-mahal
jhaa.nkte hai.n dar-o-diivaar se kyaa kyaa chehre
Jameel Malik
Sher
Nazeer Akbarabadi
Sher
to.De baGair sang taraashe na jaa.e.nge
vo dil hii kyaa jo TuuT ke patthar na ho sake
Siraj Alam Zakhmi
Sher
saahabo mai.n ne taraashe nahii.n patthar ke sanam
mere haatho.n se banaa aur banaa ek hii shaKHs
Anjum Farooq
Sher
aa.iina kyuu.n na duu.n ki tamaashaa kahe.n jise
aisaa kahaa.n se laa.uu.n ki tujh saa kahe.n jise
Mirza Ghalib
Sher
shohrat kii bulandii bhii pal bhar kaa tamaashaa hai
jis Daal pe baiThe ho vo TuuT bhii saktii hai
Bashir Badr
Sher
sunaa hai us ke badan kii taraash aisii hai
ki phuul apnii qabaa.e.n katar ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Sher
uf vo marmar se taraashaa hu.aa shaffaaf badan
dekhne vaale use taaj-mahal kahte hai.n
Qateel Shifai
Sher
KHaamushii achchhii nahii.n inkaar honaa chaahiye
ye tamaashaa ab sar-e-baazaar honaa chaahiye
Zafar Iqbal
Sher
mai.n aa.ndhiyo.n ke paas talaash-e-sabaa me.n huu.n
tum mujh se puuchhte ho miraa hausla hai kyaa
Ada Jafarey
Sher
Akhtar Shumar
Sher
mirii jagah ko.ii aa.iina rakh liyaa hotaa
na jaane tere tamaashe me.n meraa kaam hai kyaa
Zeb Ghauri
Sher
kinaare hii se tuufaa.n kaa tamaashaa dekhne vaale
kinaare se kabhii andaaza-e-tuufaa.n nahii.n hotaa
Jagan Nath Azad
Sher
kahaa.n ke ishq-o-mohabbat kidhar ke hijr o visaal
abhii to log taraste hai.n zindagii ke liye