SEARCH RESULTS
Showing search results for "tarf-e-dosh"
Sher MATCHES FOR "tarf-e-dosh"
Sher
dast-e-shikasta apnaa na pahu.nchaa kabhii dareG
vaa.n tarf-e-dosh bar-sar-e-dastaar hii rahaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
tire javaahir-e-tarf-e-kulah ko kyaa dekhe.n
ham auj-e-taala-e-laal-o-gohar ko dekhte hai.n
Mirza Ghalib
Sher
ye ziist tarf-e-dil hii me.n yaa-rab tamaam ho
kaafir huu.n gar iraada-e-bait-ul-haraam ho
Joshish Azimabadi
Sher
shoriidgii ke haath se hai sar vabaal-e-dosh
sahraa me.n ai KHudaa ko.ii diivaar bhii nahii.n
Mirza Ghalib
Sher
jo baar-e-dosh rahaa sar vo kab thaa shoriida
bahaa na jis se lahuu vo rag-e-guluu kyaa thii
Akbar Ali Khan Arshi Zadah
Sher
Jigar Moradabadi
Sher
gar aap pahle rishta-e-ulfat na to.Dte
mar miT ke ham bhii KHair nibhaate kisii tarah
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
tirii taariif ho ai sahib-e-ausaaf kyaa mumkin
zabaano.n se dahaano.n se takallum se bayaano.n se
Kalb-e-husain Nadir
Sher
nikle hai.n ghar se dekhne ko log maah-e-iid
aur dekhte hai.n abruu-e-KHamdaar kii taraf
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
kis tarah kar diyaa dil-e-naazuk ko chuur-chuur
is vaaqi.a kii KHaak hai patthar ko ittilaa.a
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
taraf-e-ka.aba na jaa haj ke liye naadaa.n hai
Gaur kar dekh ki hai KHaana-e-dil maskan-e-dost
Ameer Minai
Sher
tuu phuul kii maanind na shabnam kii tarah aa
ab ke kisii be-naam se mausam kii tarah aa
Fana Nizami Kanpuri
Sher
ai dost ham ne tark-e-mohabbat ke baavajuud
mahsuus kii hai terii zaruurat kabhii kabhii
Nasir Kazmi
Sher
na puuchh kaise guzartii hai zindagii ai dost
ba.Dii taviil kahaanii hai phir kabhii ai dost