SEARCH RESULTS
Showing search results for "tarf-e-sukhan"
Sher MATCHES FOR "tarf-e-sukhan"
Sher
log mujh ko mire aaha.ng se pahchaan ga.e
kaun badnaam rahaa shahr-e-suKHan me.n aisaa
Faza Ibn e Faizi
Sher
ham hasiin Gazlo.n se peT bhar nahii.n sakte
daulat-e-suKHan le kar be-faraaG hai.n yaaro
Faza Ibn e Faizi
Sher
aisaa hai ki sikko.n kii tarah mulk-e-suKHan me.n
jaarii ko.ii ik yaad puraanii kare.n ham bhii
Saud Usmani
Sher
dast-e-shikasta apnaa na pahu.nchaa kabhii dareG
vaa.n tarf-e-dosh bar-sar-e-dastaar hii rahaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
ham aastaan-e-KHudaa-e-suKHan pe baiThe the
so kuchh saliiqe se ab zindagii tabaah kare.n
Ahmad Ata
Sher
tire javaahir-e-tarf-e-kulah ko kyaa dekhe.n
ham auj-e-taala-e-laal-o-gohar ko dekhte hai.n
Mirza Ghalib
Sher
fikr-e-me.aar-e-suKHan baa.is-e-aazaar hu.ii
ta.ng rakkhaa to hame.n apnii qabaa ne rakkhaa
Iqbal Sajid
Sher
hamaare dam se hai raushan dayaar-e-fikr-o-suKHan
hamaare baad ye galiyaa.n dhu.aa.n dhu.aa.n ho.ngii
Sajjad Baqar Rizvi
Sher
be-takalluf aa gayaa vo mah dam-e-fikr-e-suKHan
rah gayaa paas-e-adab se qaafiya aadaab kaa
Muneer Shikohabadi
Sher
ye ziist tarf-e-dil hii me.n yaa-rab tamaam ho
kaafir huu.n gar iraada-e-bait-ul-haraam ho
Joshish Azimabadi
Sher
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
kyaa ko.ii dil lagaa ke kahe sher ai 'qalaq'
naaqadrii-e-suKHan se hai.n ahl-e-suKHan udaas
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
mahfil-e-she'r-o-suKHan yuu.n hii rahe.n baaG-o-bahaar
nasl-dar-nasl chale miir-taqii-'miir' kaa dukh
Wasim Nadir
Sher
tire KHayaal se raushan hai sar-zamiin-e-suKHan
ki jaise ziinat-e-shab ho mah-e-tamaam ke saath