SEARCH RESULTS
Showing search results for "tarh-e-baag-e-taaza"
Sher MATCHES FOR "tarh-e-baag-e-taaza"
Sher
joban par in dino.n hai bahaar-e-nashaat-e-baaG
letaa hai phuul bhar ke yahaa.n jholiyaa.n basant
Muneer Shikohabadi
Sher
sair-e-bahaar-e-baaG se ham ko mu.aaf kiijiye
us ke KHayaal-e-zulf se 'dard' kise faraaG hai
Khwaja Meer Dard
Sher
Gam-e-firaaq me.n takliif-e-sair-e-baaG na do
mujhe dimaaG nahii.n KHanda-haa-e-bejaa kaa
Mirza Ghalib
Sher
gulchii.n bahaar-e-gul me.n na kar man-e-sair-e-baaG
kyaa ham Gubaar daaman-e-baad-e-sabaa ke hai.n
Abdullla Khan Mehr Lakhnavi
Sher
itnii fursat de ki ruKHsat ho le.n ai sayyaad ham
muddato.n is baaG ke saaye me.n the aazaad ham
Mazhar Mirza Jaan-e-Janaan
Sher
Mirza Ghalib
Sher
ko.ii to aa.e sunaa.e naved-e-taaza mujhe
uTho ki hashr se pahle hisaab hone lagaa
Khalid Karrar
Sher
apnaa har andaaz aa.nkho.n ko tar-o-taaza lagaa
kitne din ke baa'd mujh ko aa.iina achchhaa lagaa
Zehra Nigaah
Sher
havaa-e-taaza kaa jho.nkaa idhar se kyaa guzraa
gire pa.De hu.e patto.n me.n jaan aa ga.ii hai
Khurshid Rabbani
Sher
gulzaar me.n phir ko.ii gul-e-taaza khilaa kyaa
ghabraa.ii sii phirtii hai tuu ai baad-e-sabaa kyaa
Hatim Ali Mehr
Sher
Rind Lakhnavi
Sher
Nazeer Akbarabadi
Sher
kartaa hai baaG-e-dahr me.n naira.ngiyaa.n basant
aayaa hai laakh rang se ai baaGbaa.n basant