SEARCH RESULTS
Showing search results for "tarkiib"
Sher MATCHES FOR "tarkiib"
Sher
Meer Taqi Meer
Sher
zinda rahne kii ye tarkiib nikaalii mai.n ne
apne hone kii KHabar sab se chhupaa lii mai.n ne
Aleena Itrat
Sher
rabt hai us ko zamaane se bahut suntaa huu.n
ko.ii tarkiib karuu.n mai.n bhii zamaana ho jaa.uu.n
Kausar Mazhari
Sher
zindagii bhar zinda rahne kii yahii tarkiib hai
us taraf jaanaa nahii.n bilkul jidhar kii sochnaa
Shuja Khaavar
Sher
adab baKHshaa hai aisaa rabt-e-alfaaz-e-munaasib ne
do-zaanuu hai mirii tab-e-rasaa tarkiib-e-urdu se
Munshi Khairati Laal Shagufta
Sher
Seemab Akbarabadi
Sher
darmiyaa.n jo jism kaa parda hai kaise hogaa chaak
maut kis tarkiib se ham ko milaa.egii na puuchh
Abhinandan Pandey
Sher
ba.Dii tarkiib se mai.n ne nikaalaa raasta apnaa
ajab saa ek jangal mil gayaa thaa raah me.n mujh ko
Raghvendra Dwivedi
Sher
zindagii kyaa hai anaasir me.n zuhuur-e-tartiib
maut kyaa hai inhii.n ajzaa kaa pareshaa.n honaa
Chakbast Braj Narayan
Sher
teraa chup rahnaa mire zehn me.n kyaa baiTh gayaa
itnii aavaaze.n tujhe dii.n ki galaa baiTh gayaa
Tahzeeb Hafi
Sher
ye ek baat samajhne me.n raat ho ga.ii hai
mai.n us se jiit gayaa huu.n ki maat ho ga.ii hai
Tahzeeb Hafi
Sher
duniyaa ke jo maze hai.n hargiz vo kam na ho.nge
charche yuu.nhii rahe.nge afsos ham na ho.nge
Agha Mohammad Taqi Khan taraqqi
Sher
Imam Bakhsh Nasikh
Sher
apnii mastii me.n bahtaa dariyaa huu.n
mai.n kinaara bhii huu.n bha.nvar bhii huu.n