SEARCH RESULTS
Showing search results for "tarz"
Sher MATCHES FOR "tarz"
Sher
ik tarz-e-taGaaful hai so vo un ko mubaarak
ik arz-e-tamannaa hai so ham karte rahe.nge
Faiz Ahmad Faiz
Sher
jamhuuriyat ik tarz-e-hukuumat hai ki jis me.n
bando.n ko ginaa karte hai.n taulaa nahii.n karte
Allama Iqbal
Sher
apne qaatil kii zehaanat se pareshaan huu.n mai.n
roz ik maut na.e tarz kii iijaad kare
Parveen Shakir
Sher
vaaqif hai.n KHuub aap ke tarz-e-jafaa se ham
iz.haar-e-iltifaat kii zahmat na kiijiye
Hasrat Mohani
Sher
ai gardisho tumhe.n zaraa taaKHiir ho ga.ii
ab meraa intizaar karo mai.n nashe me.n huu.n
Ganesh Bihari Tarz
Sher
tujh ko dekhaa na tire naaz-o-adaa ko dekhaa
terii har tarz me.n ik shaan-e-KHudaa ko dekhaa
Mirza Mayal Dehlvi
Sher
ahl-e-dil ke vaaste paiGaam ho kar rah ga.ii
zindagii majbuuriyo.n kaa naam ho kar rah ga.ii
Ganesh Bihari Tarz
Sher
ye mahal ye maal o daulat sab yahii.n rah jaa.e.nge
haath aa.egii faqat do gaz zamii.n marne ke baad
Ganesh Bihari Tarz
Sher
ye tarz-e-KHaas hai ko.ii kahaa.n se laa.egaa
jo ham kahe.nge kisii se kahaa na jaa.egaa
Kaleem Aajiz
Sher
Jaleel Manikpuri
Sher
ye mo.ajiza hamaare hii tarz-e-bayaa.n kaa thaa
us ne vo sun liyaa thaa jo ham ne kahaa na thaa
Akhtar Shahjahanpuri
Sher
Arzoo Lakhnavi
Sher
'daaG' ke sher javaanii me.n bhale lagte hai.n
'miir' kii ko.ii Gazal gaa.o ki kuchh chain pa.De
Ganesh Bihari Tarz
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
suntaa huu.n ba.De Gaur se afsaana-e-hastii
kuchh KHvaab hai kuchh asl hai kuchh tarz-e-adaa hai
Asghar Gondvi
Sher
mirii hastii hai mirii tarz-e-tamannaa ai dost
KHud mai.n fariyaad huu.n merii ko.ii fariyaad nahii.n
Jigar Moradabadi
Sher
ab mai.n huduud-e-hosh-o-KHirad se guzar gayaa
Thukraa.o chaahe pyaar karo mai.n nashe me.n huu.n