SEARCH RESULTS
Showing search results for "tasadduq-e-jigar"
Sher MATCHES FOR "tasadduq-e-jigar"
Sher
ham dil fidaa kare.n ki tasadduq-e-jigar kare.n
jo bhii kahe.n huzuur vahii umr bhar kare.n
Nadir Shahjahanpuri
Sher
ek dil hai aur tuufaan-e-havaadis ai 'jigar'
ek shiisha hai ki har patthar se Takraataa huu.n mai.n
Jigar Moradabadi
Sher
tuul-e-Gam-e-hayaat se ghabraa na ai 'jigar'
aisii bhii ko.ii shaam hai jis kii sahar na ho
Jigar Moradabadi
Sher
ahbaab mujh se qat-e-ta.alluq kare.n 'jigar'
ab aaftaab-e-ziist lab-e-baam aa gayaa
Jigar Moradabadi
Sher
jaan hii de dii 'jigar' ne aaj paa-e-yaar par
umr bhar kii be-qaraarii ko qaraar aa hii gayaa
Jigar Moradabadi
Sher
Aale Ahmad Suroor
Sher
sab apnaa haal kahte rahe chaarasaaz se
mai.n thaa ki mahv-e-lazzat-e-dard-e-jigar rahaa
Jaleel Manikpuri
Sher
faanii davaa-e-dard-e-jigar zahr to nahii.n
kyuu.n haath kaa.nptaa hai mire chaarasaaz kaa
Fani Badayuni
Sher
Firaq Gorakhpuri
Sher
mere sukuun-e-qalb ko le kar chale ga.e
aur iztiraab-e-dard-e-jigar de ga.e mujhe
Aleem Akhtar muzaffarnagri
Sher
rah-e-vafaa me.n luTaa kar mataa-e-qalb-o-jigar
kiyaa hai terii mohabbat kaa haq adaa mai.n ne
Akhtar Muslimi
Sher
Maroof Dehlvi
Sher
mire daaG-e-jigar ko phuul kah kar
mujhe kaa.nTo.n me.n khii.nchaa jaa rahaa hai