SEARCH RESULTS
Showing search results for "tasallii"
Sher MATCHES FOR "tasallii"
Sher
naam ho.nTo.n pe tiraa aa.e to raahat sii mile
tuu tasallii hai dilaasa hai du.aa hai kyaa hai
Naqsh Layalpuri
Sher
saaf inkaar agar ho to tasallii ho jaa.e
jhuuTe va.ado.n se tire ranj sivaa hotaa hai
Qaisar Haideri Dehlvi
Sher
Arzoo Lakhnavi
Sher
kaafii hai mire dil kii tasallii ko yahii baat
aap aa na sake aap kaa paiGaam to aayaa
Shakeel Badayuni
Sher
jis bazm me.n saaGar ho na sahbaa ho na KHum ho
rindo.n ko tasallii hai ki us bazm me.n tum ho
Unknown
Sher
maanuus ho chalaa thaa tasallii se haal-e-dil
phir tuu ne yaad aa ke ba-dastuur kar diyaa
Hasrat Mohani
Sher
aas kyaa ab to umiid-e-naa-ummiidii bhii nahii.n
kaun de mujh ko tasallii kaun bahlaa.e mujhe
Munshi Amirullah Tasleem
Sher
yuu.n tasallii de rahe hai.n ham dil-e-biimaar ko
jis tarah thaame ko.ii girtii hu.ii diivaar ko
Qateel Shifai
Sher
Mohammad Rafi Sauda
Sher
na jaane mohabbat kaa anjaam kyaa hai
mai.n ab har tasallii se ghabraa rahaa huu.n
Ehsan Danish Kandhlvi
Sher
Arzoo Lakhnavi
Sher
va.ada jhuuTaa kar liyaa chaliye tasallii ho ga.ii
hai zaraa sii baat KHush karnaa dil-e-naashaad kaa
Dagh Dehlvi
Sher
na hu.ii gar mire marne se tasallii na sahii
imtihaa.n aur bhii baaqii ho to ye bhii na sahii
Mirza Ghalib
Sher
kyaa zid hai mire saath KHudaa jaane vagarna
kaafii hai tasallii ko mirii ek nazar bhii
Mohammad Rafi Sauda
Sher
KHaalii sahii balaa se tasallii to dil ko ho
rahne do saamne mire saaGar sharaab kaa
Munshi Amirullah Tasleem
Sher
do harf tasallii ke jis ne bhii kahe us ko
afsaana sunaa Daalaa tasviir dikhaa Daalii