SEARCH RESULTS
Showing search results for "tashbiih"
Sher MATCHES FOR "tashbiih"
Sher
tashbiih tire chehre ko kyaa duu.n gul-e-tar se
hotaa hai shagufta magar itnaa nahii.n hotaa
Akbar Allahabadi
Sher
tire badan kii mahak ko gulaab se tashbiih
ki jaise ko.ii dikhaa.e charaaG suuraj ko
Maroof Raebarelvi
Sher
kis se duu.n tashbiih mai.n zulf-e-musalsal ko tirii
fikr hai kotaah aur mazmuu.n bahut hai duur kaa
Sardar Ganda Singh Mashriqi
Sher
ko.ii tashbiih kaa KHurshiid na talmiih kaa chaa.nd
sar-e-qirtaas lagaa harf-e-barhana achchhaa
Akhtar Husain Jafri
Sher
ye chalan hai.n to tumhe.n hashr se de.nge tashbiih
log saffaak kahe.nge ba.Dii rusvaa.ii hai
Dattatriya Kaifi
Sher
varaq varaq tujhe tahriir kartaa rahtaa huu.n
mai.n zindagii tirii tash.hiir kartaa rahtaa huu.n
Raeesuddin Raees
Sher
yahii tashviish shab-o-roz hai bangaale me.n
lucknow phir kabhii dikhlaa.e muqaddar meraa
Wajid Ali Shah Akhtar
Sher
Parveen Shakir
Sher
suntaa huu.n mai.n ki aaj vo tashriif laa.e.nge
allaah sach kare kahii.n jhuuTii KHabar na ho
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
roz ik taaza qasiida na.ii tashbiib ke saath
rizq bar-haq hai ye KHidmat nahii.n hogii ham se
Iftikhar Arif
Sher
vaqt be-vaqt jhalaktaa hai mirii suurat se
kaun chehra mirii tashkiil me.n aayaa hu.aa hai
Asim Wasti
Sher
Waliullah Muhib
Sher
tashriif laa.o kuucha-e-rindaa.n me.n vaa.izo
siidhii sii raah tum ko bataa de.n najaat kii