SEARCH RESULTS
Showing search results for "tashbiih"
Ghazal MATCHES FOR "tashbiih"
Ghazal
tashbiih tire chehre ko kyaa duu.n gul-e-tar se
hotaa hai shagufta magar itnaa nahii.n hotaa
Akbar Allahabadi
Ghazal
tashbiih kis se duu.n ki tarah-daar kii mire
sab se niraalii vaz.a hai sab se na.ii tarah
Momin Khan Momin
Ghazal
kyuu.n na tashbiih use zulf se de.n aashiq-e-zaar
vaaqa.ii tuul-e-shab-e-hijr balaa hotaa hai
Mirza Raza Barq
Ghazal
hayaat ab shaam-e-Gam kii tashbiih KHud banegii
tumhaarii zulfo.n kaa isti.aara nahii.n chalegaa
Mohsin Naqvi
Ghazal
naakaamiyo.n me.n tum ne jo tashbiih mujh se dii
shiirii.n ko dard-e-talKHi-e-farhaad aa gayaa
Momin Khan Momin
Ghazal
tere ruKHsaar se tashbiih use duu.n kyuu.nkar
sham.a to charbii ko aa.nkho.n me.n diye baiThii hai
Mah Laqa Chanda
Ghazal
vo to anmol hai naayaab hai iklautaa hai
us kii tashbiih kare.n ham kisii shai se kaise
Wasi Shah
Ghazal
un ko tashbiih masiihaa se jo dii vo bole
aaj ma.aluum hu.aa maut tumhaarii aa.ii
Lala Madhav Ram Jauhar
Ghazal
ko.ii tashbiih kaa KHurshiid na talmiih kaa chaa.nd
sar-e-qirtaas lagaa harf-e-barhana achchhaa
Akhtar Husain Jafri
Ghazal
Fakhira batool
Ghazal
Dhuu.nDiye kyo.n isti.aara aur tashbiih-o-misaal
husn to vo hai bataa.e.n jis ko husn-e-laa-javaab
Firaq Gorakhpuri
Ghazal
tum ko kahaa jo chaa.nd to tum duur ho ga.e
tashbiih ko bhii tum ne majaazii banaa diyaa