aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ba-nam-e-taqat koi ishaara nahin chalega

Mohsin Naqvi

ba-nam-e-taqat koi ishaara nahin chalega

Mohsin Naqvi

MORE BYMohsin Naqvi

    ba-nām-e-tāqat koī ishāra nahīñ chalegā

    udaas nasloñ pe ab ijāra nahīñ chalegā

    ham apnī dhartī se apnī har samt ḳhud talāsheñ

    hamārī ḳhātir koī sitāra nahīñ chalegā

    hayāt ab shām-e-ġham tashbīh ḳhud banegī

    tumhārī zulfoñ isti.āra nahīñ chalegā

    chalo saroñ ḳhirāj nok-e-sināñ ko baḳhsheñ

    ki jaañ bachāne istiḳhāra nahīñ chalegā

    hamāre jazbe baġhāvatoñ ko tarāshte haiñ

    hamāre jazboñ pe bas tumhārā nahīñ chalegā

    azal se qaa.em haiñ donoñ apnī zidoñ pe 'mohsin'

    chalegā paanī magar kināra nahīñ chalegā

    ba-nam-e-taqat koi ishaara nahin chalega

    udas naslon pe ab ijara nahin chalega

    hum apni dharti se apni har samt KHud talashen

    hamari KHatir koi sitara nahin chalega

    hayat ab sham-e-gham ki tashbih KHud banegi

    tumhaari zulfon ka istiara nahin chalega

    chalo saron ka KHiraj nok-e-sinan ko baKHshen

    ki jaan bachane ka istiKHara nahin chalega

    hamare jazbe baghawaton ko tarashte hain

    hamare jazbon pe bas tumhaara nahin chalega

    azal se qaem hain donon apni zidon pe 'mohsin'

    chalega pani magar kinara nahin chalega

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    ba-nam-e-taqat koi ishaara nahin chalega Nomaan Shauque

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now