SEARCH RESULTS
Showing search results for "taskiin-e-anaa"
Sher MATCHES FOR "taskiin-e-anaa"
Sher
taskiin' karuu.n kyaa dil-e-muztar kaa ilaaj ab
kam-baKHt ko mar kar bhii to aaraam na aayaa
Taskeen Dehlavi
Sher
puuchhe jo tujh se ko.ii ki 'taskii.n' se kyuu.n milaa
kah diijo haal dekh ke rahm aa gayaa mujhe
Taskeen Dehlavi
Sher
'taskii.n' ne naam le ke tiraa vaqt-e-marg aah
kyaa jaane kyaa kahaa thaa kisii ne sunaa nahii.n
Taskeen Dehlavi
Sher
is qadar mahv na ho.n aap KHud-aaraa.ii me.n
daaG lag jaa.e na aa.iina-e-yaktaa.ii me.n
Kalb-e-husain Nadir
Sher
Asrarul Haq Majaz
Sher
KHaak me.n daulat-e-pindaar-o-anaa miltii hai
apnii miTTii se bichha.Dne kii sazaa miltii hai
Iftikhar Arif
Sher
Saleem Kausar
Sher
sirf chehra hii nazar aataa hai aa.iine me.n
aks-e-aa.iina nahii.n dikhtaa hai aa.iine me.n
Khaleel Mamoon
Sher
KHud-kushii qatl-e-anaa tark-e-tamannaa bairaag
zindagii tere nazar aane lage hal kitne
Rafia Shabnam Abidi
Sher
jis par nazar pa.De use KHud se nikaalnaa
raushan-dilo.n kaa kaam hai maanind-e-aa.iina
Wali Uzlat
Sher
jauhar baGair qiimat-e-aa.iina kuchh nahii.n
aa.iina le bhii aa.e.n to jauhar kahaa.n se laa.e.n
Anees Ashfaq
Sher
Tauseef Tabassum
Sher
tiira-o-taar KHalaa.o.n me.n bhaTaktaa rahaa zehan
raat sahraa-e-anaa se mai.n hiraasaa.n guzraa
Arif Abdul Mateen
Sher
mirii shaa.irii me.n chhup kar ko.ii aur boltaa hai
sar-e-aa.ina jo dekhuu.n to vo shaKHs duusraa hai
Jazib Quraishi
Sher
basaan-e-aa.ina ham ne to chashm vaa kar lii
jidhar nigaah kii saaf us ko barmalaa dekhaa
Shah Naseer
Sher
misaal-e-aa.ina ham jab se hairatii hai.n tire
ki jin dino.n me.n na thaa tuu si.ngaar se vaaqif
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
mere dil-e-shikasta ko kahtii hai dekh KHalq
kyaa zor-e-aa.iina hai ye hove agar durust