SEARCH RESULTS
Showing search results for "tasniim"
Sher MATCHES FOR "tasniim"
Sher
KHudaa ke naam pe jis tarah log mar rahe hai.n
du.aa karo ki akelaa KHudaa na rah jaa.e
Tasneem Abidi
Sher
chal kar kabhii hamaare andhere bhii dekhiye
ham log raushnii me.n ba.De pur-vaqaar hai.n
Tasneem Faruqi
Sher
'ajiib shaKHs thaa apnaa pata bataayaa nahii.n
diyaa jalaayaa magar raushnii me.n aayaa nahii.n
Tasneem Ansari
Sher
jango.n me.n thii mai.n maal-e-Ganiimat ke taur pe
mere liye kabhii mujhe baa.nTaa nahii.n gayaa
Tasneem Abidi
Sher
is baar madiine me.n hii dar aayaa thaa kuufa
is baar kiyaa ham ne safar aur tarah kaa
Tasneem Abidi
Sher
kuchh chaa.ndnii udaas thii kuchh dil bhii thaa udaas
kal raat karb-e-zaat bhii had se sivaa hu.aa
Tasneem Abidi
Sher
shahr-aashob me.n kirdaar na.e hai.n lekin
ye kahaanii hame.n pahle bhii sunaa.ii ga.ii hai
Tasneem Abidi
Sher
tuu ik payaade ko shah-maat denaa chaahtaa hai
mai.n haar maan ga.ii apnii chaal rahne de
Tasneem Abidi
Sher
raa.igaanii kii 'ajab shakl dikhaa.ii ga.ii hai
ek tasviir jo paanii pe banaa.ii ga.ii hai
Tasneem Abidi
Sher
is baar hu.aa kun kaa asar aur tarah kaa
is baar hai imkaan-e-bashar aur tarah kaa
Tasneem Abidi
Sher
ye 'inaayat ye sharaf baat zaraa sii to nahii.n
ye karam aap kaa sarkaar siyaasii to nahii.n
Tasneem Ansari
Sher
Tasneem Abidi
Sher
hamaare gaa.nv tumhaarii shikaar-gaah nahii.n
dhue.n ke abr se paanii pe vaar mat karnaa
Tasneem Ansari
Sher
shikast-e-‘ahd-e-tamanna kii kyaa shikaayat ho
hamaare KHvaab hii ham se gurez-paa nikle