SEARCH RESULTS
Showing search results for "tauq"
Sher MATCHES FOR "tauq"
Sher
ik mauj-e-KHuun-e-KHalq thii kis kii jabii.n pe thii
ik tauq-e-fard-e-jurm thaa kis ke gale me.n thaa
Mustafa Zaidi
Sher
Rind Lakhnavi
Sher
tauq-e-badan utaar ke phe.nkaa zamii.n se duur
duniyaa ke saath chalne se inkaar kar diyaa
Nomaan Shauque
Sher
maa.n baap aur ustaad sab hai.n KHudaa kii rahmat
hai rok-Tok un kii haq me.n tumhaare ne.amat
Altaf Hussain Hali
Sher
aa.nkh se aa.nkh milaanaa to suKHan mat karnaa
Tok dene se kahaanii kaa mazaa jaataa hai
Mohsin Asrar
Sher
baat karne kaa hasii.n taur-tariiqa siikhaa
ham ne urdu ke bahaane se saliiqa siikhaa
Manish Shukla
Sher
mere hone me.n kisii taur se shaamil ho jaa.o
tum masiihaa nahii.n hote ho to qaatil ho jaa.o
Irfan Siddiqi
Sher
tuu hai harjaa.ii to apnaa bhii yahii taur sahii
tuu nahii.n aur sahii aur nahii.n aur sahii
Qalaq Merathi
Sher
Tuk dekh le.n chaman ko chalo laala-zaar tak
kyaa jaane phir ji.e.n na ji.e.n ham bahaar tak
Meer Hasan
Sher
Ahmad Ata
Sher
be-bulaa.e hu.e jaanaa mujhe manzuur nahii.n
un kaa vo taur nahii.n meraa ye dastuur nahii.n
Mirza Raza Barq
Sher
is shaan se lauTe hai.n ga.nvaa kar dil-o-jaa.n ham
is taur to haare hu.e lashkar nahii.n aate
Mohsin Naqvi
Sher
saaqii mire bhii dil kii taraf Tuk nigaah kar
lab-tishna terii bazm me.n ye jaam rah gayaa
Khwaja Meer Dard
Sher
ham taur-e-ishq se to vaaqif nahii.n hai.n lekin
siine me.n jaise ko.ii dil ko malaa kare hai