SEARCH RESULTS
Showing search results for "tauq"
Nazm MATCHES FOR "tauq"
Nazm
aurat
terii KHaatir hai jo zanjiir vo saugand bhii to.D
tauq ye bhii hai zamurrad kaa guluu-band bhii to.D
Kaifi Azmi
Nazm
walida marhuma ki yaad mein
ne majaal-e-shikva hai ne taaqat-e-guftaar hai
zindagaanii kyaa hai ik tauq-e-guluu-afshaar hai
Allama Iqbal
Nazm
tauq-o-dar ka mausam
yahii junuu.n kaa yahii tauq-o-daar kaa mausam
yahii hai jabr yahii iKHtiyaar kaa mausam
Faiz Ahmad Faiz
Nazm
nashat-e-umid
paa.nv me.n juutii nahii.n par hai ye zauq
gho.Daa jo sabza ho to niilaa ho tauq
Altaf Hussain Hali
Nazm
ishq apne mujrmon ko pa-ba-jaulan le chala
guluu me.n kabhii tauq kaa vaahima
kabhii paa.nv me.n raqs-e-zanjiir
Faiz Ahmad Faiz
Nazm
muslim uniwersity aligarh se KHitab
soch tuu jii me.n ye jhuuTii nek-naamii taa-kujaa
maGribii tahziib kaa tauq-e-Gulaamii taa-kujaa
Josh Malihabadi
Nazm
fareb
barbat o taa.uus ne a.ng.Daa.ii lii
aur mutrib kii hathelii se shu.aa.e.n phuuTii.n
Ali Sardar Jafri
Nazm
husn aur mazduri
gardan-e-haq par KHaraash-e-teG-e-baatil taa-ba-kai?
ahl-e-dil ke vaaste tauq-o-salaasil taa-ba-kai?
Josh Malihabadi
Nazm
shama
ye silsila zamaan-o-makaa.n kaa kamand hai
tauq-e-guluu-e-husn tamaashaa-pasand hai
Allama Iqbal
Nazm
hum
pa dast-o-paa me.n salaasil-e-nau bano
to gardan me.n tauq pahnaa diye ga.e hai.n
Zia Jalandhari
Nazm
africa come-back
gardan kaa tauq to.D ke Dhaalii hai mai.n ne Dhaal
''aa jaa.o africa''
Faiz Ahmad Faiz
Nazm
shikast-e-zindan
nazar uThaa ki vo tere vatan ke mehnat-kash
gale se kohna Gulaamii kaa tauq utaar aa.e
Sahir Ludhianvi
Nazm
chup na raho
shab kii taariikii me.n ik aur sitaara TuuTaa
tauq to.De ga.e TuuTii zanjiir
Makhdoom Mohiuddin
Nazm
zaifa
aur kis mausam me.n jab taa.uun hai phailaa hu.aa
zarra zarra hai vabaa ke KHauf se simTaa hu.aa
Josh Malihabadi
Nazm
chaar fitne
sher kaa shauq bhii ilm kaa zauq bhii
aur gale me.n aligarh kaa hai tauq bhii