SEARCH RESULTS
Showing search results for "tavaaf-e-ka.aba"
Sher MATCHES FOR "tavaaf-e-ka.aba"
Sher
tavaaf-e-ka.aba ko kyaa jaa.e.n haj nahii.n vaajib
kalaal-KHaane ke kuchh diin-daar ham bhii hai.n
Aagha Akbarabadi
Sher
Abroo Shah Mubarak
Sher
sunaa hai arsh-e-ilaahii isii ko kahte hai.n
tavaaf-e-ka.aba-e-dil ham ne sub.h-o-shaam kiyaa
Peer Sher Mohammad Ajiz
Sher
taraf-e-ka.aba na jaa haj ke liye naadaa.n hai
Gaur kar dekh ki hai KHaana-e-dil maskan-e-dost
Ameer Minai
Sher
adab-e-baada-parastii na gayaa mastii me.n
suurat-e-kaaba tavaaf-e-dar-e-mai-KHaana hai
Naseem Dehlvi
Sher
ham ne dekhaa taraf-e-mai-kada jaate the 'riyaaz'
ik asaa thaame abaa pahne amaama baa.ndhe
Riyaz Khairabadi
Sher
ye gardish-e-zamaana hame.n kyaa miTaa.egii
ham hai.n tavaaf-e-kuucha-e-jaanaa.n kiye hu.e
Qabil Ajmeri
Sher
chand tinko.n kii saliiqe se agar tartiib ho
bijliyo.n ko bhii tavaaf-e-aashiyaa.n karnaa pa.De
Siraj Lakhnavi
Sher
Jaleel Manikpuri
Sher
KHuluus ho to kahii.n bandagii kii qaid nahii.n
sanam-kade me.n tavaaf-e-haram bhii mumkin hai
Muztar Haidri
Sher
kabhuu jo shaiKH dikhaa.uu.n mai.n apne but ke ta.ii.n
ba-rabb-e-ka.aba tujhe hasrat-e-haram na rahe