SEARCH RESULTS
Showing search results for "tazkire"
Sher MATCHES FOR "tazkire"
Sher
yuu.n kar rahaa huu.n un kii mohabbat ke tazkire
jaise ki un se merii ba.Dii rasm-o-raah thii
Mahirul Qadri
Sher
vo jo maqaam hai teraa mirii kahaanii me.n
usii maqaam pe mai.n tere tazkire me.n rahuu.n
Syed Kashif Raza
Sher
tazkire me.n tire ik naam ko yuu.n jo.D diyaa
dosto.n ne mujhe shiishe kii tarah to.D diyaa
Bashir Farooqi
Sher
tazkire hai.n to faqat qatl ke andaaz ke hai.n
shahr me.n qatl kaa mere ko.ii charchaa hii nahii.n
Jamal Abbas Fahmi
Sher
abhii chhi.De hii na the tazkire bahaaro.n ke
shu.aa-e-husn se suljhe na the dimaaG abhii
Afsar Azri
Sher
chup-chaap suntii rahtii hai pahro.n shab-e-firaaq
tasviir-e-yaar ko hai mirii guftuguu pasand
Dagh Dehlvi
Sher
vajuud-e-zan se hai tasviir-e-kaa.enaat me.n ra.ng
isii ke saaz se hai zindagii kaa soz-e-daruu.n
Allama Iqbal
Sher
chand tasviir-e-butaa.n chand hasiino.n ke KHutuut
ba.ad marne ke mire ghar se ye saamaa.n niklaa
Bazm Akbarabadi
Sher
Allama Iqbal
Sher
mu.nh me.n vaa.iz ke bhii bhar aataa hai paanii aksar
jab kabhii tazkira-e-jaam-e-sharaab aataa hai
Bekhud Dehlvi
Sher
apnii uj.Dii hu.ii duniyaa kii kahaanii huu.n mai.n
ek big.Dii hu.ii tasviir-e-javaanii huu.n mai.n
Akhtar Ansari
Sher
aa.nkho.n me.n damak uTThii hai tasviir-e-dar-o-baam
ye kaun gayaa mere baraabar se nikal kar
Sarvat Husain
Sher
aalam me.n jis kii dhuum thii us shaahkaar par
diimak ne jo likhe kabhii vo tabsire bhii dekh
Shakeb Jalali
Sher
ham banaa.e.nge yahaa.n 'saGar' na.ii tasviir-e-shauq
ham taKHayyul ke mujaddid ham tasavvur ke imaam