SEARCH RESULTS
Showing search results for "thair"
Sher MATCHES FOR "thair"
Sher
ai taa.ir-e-laahautii us rizq se maut achchhii
jis rizq se aatii ho parvaaz me.n kotaahii
Allama Iqbal
Sher
Ahmad Mushtaq
Sher
chamak rahaa hai KHema-e-raushan duur sitaare saa
dil kii kashtii tair rahii hai khule samundar me.n
Zeb Ghauri
Sher
sabr ai dil ki ye haalat nahii.n dekhii jaatii
Thahr ai dard ki ab zabt kaa yaaraa na rahaa
Habeeb Ashar Dehlavi
Sher
akele paar utar ke bahut hai ranj mujhe
mai.n us kaa bojh uThaa kar bhii tair saktaa thaa
Irfan Ahmad
Sher
ai be-KHudii Thahr ki bahut din guzar ga.e
mujh ko KHayaal-e-yaar kahii.n Dhuu.nDtaa na ho
Fani Badayuni
Sher
Thahr saktii hai kahaa.n us ruKH-e-taabaa.n pe nazar
dekh saktaa hai use aadmii band aa.nkho.n se
Anwar Shuoor
Sher
ho ruuh ke ta.ii.n jism se kis tarah mohabbat
taa.ir ko qafas se bhii kahii.n ho hai mohabbat
Taban Abdul Hai
Sher
Masoom Sharqi
Sher
Thahr jaa.o bose lene do na to.Do silsila
ek ko kyaa vaasta hai duusre ke kaam se
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
bahaar chaak-e-girebaa.n me.n Thahr jaatii hai
junuu.n kii mauj ko.ii aastii.n me.n hotii hai
Aziz Hamid Madni
Sher
fazaa me.n u.Dte parinde kii KHair ho yaarab
ki us kaa tair ba.Daa hai magar kamaan hai ta.ng
Shams Ramzi
Sher
taa.ir-e-aql ko ma.azuur kahaa zaahid ne
par-e-parvaaz me.n tasbiih kaa Doraa baa.ndhaa
Wazir Ali Saba Lakhnavi
Sher
merii taraf se KHaatir-e-sayyaad jamaa hai
kyaa u.D sakegaa taa.ir-e-be-baal-o-par kahii.n
Ashraf Ali Fughan
Sher
kahii.n bhii taa.ir-e-aavaara ho magar tai hai
jidhar kamaa.n hai udhar jaa.egaa kabhii na kabhii
Syed Amin Ashraf
Sher
pha.ns gayaa hai daam-e-kaakul me.n butaan-e-hind ke
taa.ir-e-dil ko hamaare raam-daanaa chaahiye