SEARCH RESULTS
Showing search results for "thakne"
Sher MATCHES FOR "thakne"
Sher
mujh ko thakne nahii.n detaa ye zaruurat kaa pahaa.D
mere bachche mujhe buu.Dhaa nahii.n hone dete
Meraj Faizabadi
Sher
vo taaza-dam hai.n na.e sho.abde dikhaate hu.e
avaam thakne lage taaliyaa.n bajaate hu.e
Azhar Inayati
Sher
manzile.n na bhuule.nge raah-rau bhaTakne se
shauq ko ta'alluq hii kab hai paa.nv thakne se
Adeeb Saharanpuri
Sher
jab us ko dekhte rahne se thakne lagtaa huu.n
to apne KHvaab kii palke.n jhapakne lagtaa huu.n
Farhat Ehsas
Sher
safar me.n tanhaa qadam uThaanaa mushkil hai
saath tumhaare kabhii na thakne vaalaa mai.n
Rajinder Manchanda Bani
Sher
thaknaa bhii laazmii thaa kuchh kaam karte karte
kuchh aur thak gayaa huu.n aaraam karte karte
Zafar Iqbal
Sher
Mohsin Naqvi
Sher
thak gayaa mai.n karte karte yaad tujh ko
ab tujhe mai.n yaad aanaa chaahtaa huu.n
Qateel Shifai
Sher
tumhaaraa naam aayaa aur ham takne lage rasta
tumhaarii yaad aa.ii aur khi.Dkii khol dii ham ne
Munawwar Rana
Sher
Muneer Niyazi
Sher
thake-haare parinde jab basere ke liye lauTe.n
saliiqa-ma.nd shaaKHo.n kaa lachak jaanaa zaruurii hai
Waseem Barelvi
Sher
jitnaa dekho use thaktii nahii.n aa.nkhe.n varna
KHatm ho jaataa hai har husn kahaanii kii tarah