SEARCH RESULTS
Showing search results for "thakne"
Ghazal MATCHES FOR "thakne"
Ghazal
mujh ko thakne nahii.n detaa ye zaruurat kaa pahaa.D
mere bachche mujhe buu.Dhaa nahii.n hone dete
Meraj Faizabadi
Ghazal
abhii se mere rafuugar ke haath thakne lage
abhii to chaak mire zaKHm ke sile bhii nahii.n
Parveen Shakir
Ghazal
vo taaza-dam hai.n na.e sho.abde dikhaate hu.e
avaam thakne lage taaliyaa.n bajaate hu.e
Azhar Inayati
Ghazal
thakne ke ham nahii.n the magar ab ke yuu.n hu.aa
detaa rahaa fareb sitaara safar ke biich
Shahid Zaki
Ghazal
te.Dhii-me.Dhii raah banaane vaalaa tuu
kabhii na thakne roz guzarne vaalaa mai.n
Javed Akram Farooqi
Ghazal
jab us ko dekhte rahne se thakne lagtaa huu.n
to apne KHvaab kii palke.n jhapakne lagtaa huu.n
Farhat Ehsas
Ghazal
safar me.n tanhaa qadam uThaanaa mushkil hai
saath tumhaare kabhii na thakne vaalaa mai.n
Rajinder Manchanda Bani
Ghazal
pahle pahal to chalte rahe be-niyaaz ham
thakne lage to manzilo.n kii justujuu hu.ii
Kuldeep Kumar
Ghazal
kuchh tuu hii apne KHuun-e-ramiida kii le KHabar
palko.n pe qatra qatra Tapakne lagii hai shaam
Owais Ahmad Dauran
Ghazal
ki naav thakne lagii thii havaa se la.Dte hu.e
magar vo hausla baaqii jo baadbaan me.n thaa
Aarib Hasimi
Ghazal
manzile.n na bhuule.nge raah-rau bhaTakne se
shauq ko ta'alluq hii kab hai paa.nv thakne se
Adeeb Saharanpuri
Ghazal
thakne lagtaa huu.n to aavaaz sii aatii hai ko.ii
aur do-chaar qadam merii taraf mere liye
Shamim Karhani
Ghazal
junuu.n ke bojh se thakne lagaa zamaan o KHalaa
Gariib-e-shauq zaraa phir vatan badalnaa to
Sarwat Zehra
Ghazal
athar shakeel
Ghazal
ab paa.nv nahii.n raah me.n dil thakne lagaa hai
lekin hame.n chalnaa to hai anjaam-e-safar tak
Naeem Sameer
Ghazal
thakne vaale nahii.n is raah ke raahii hargiz
karte jaa.e.nge safar gard-e-safar hone tak
Kaleem Qaisar Balrampuri
Ghazal
raah-e-vafaa me.n girte sambhalte rahe miyaa.n
thakne ke baa-vajuud bhii chalte rahe miyaa.n