Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tujhe zara dukh aur sisakne wala main

Rajinder Manchanda Bani

tujhe zara dukh aur sisakne wala main

Rajinder Manchanda Bani

MORE BYRajinder Manchanda Bani

    tujhe zarā dukh aur sisakne vaalā maiñ

    tirī udāsī dekh na sakne vaalā maiñ

    tire badan meñ chingārī kyā shai hai

    'aks zarā aur chamakne vaalā maiñ

    tire lahū meñ bedārī kyā shai hai

    lams zarā aur mahakne vaalā maiñ

    tirī adā meñ purkārī kyā shai hai

    baat zarā aur jhijakne vaalā maiñ

    rangoñ ik bāġh-e-hasīñ chehra terā

    kyā kyā dekhūñ aañkh jhapakne vaalā maiñ

    sang nahīñ huuñ baat na mānūñ mausam

    havā zarā aur lachakne vaalā maiñ

    safar meñ tanhā qadam uThānā mushkil hai

    saath tumhāre kabhī na thakne vaalā maiñ

    tujhe zara dukh aur sisakne wala main

    teri udasi dekh na sakne wala main

    tere badan mein chingari si kya shai hai

    'aks zara sa aur chamakne wala main

    tere lahu mein bedari si kya shai hai

    lams zara sa aur mahakne wala main

    teri ada mein purkari si kya shai hai

    baat zara si aur jhijakne wala main

    rangon ka ek bagh-e-hasin chehra tera

    kya kya dekhun aankh jhapakne wala main

    sang nahin hun baat na manun mausam ki

    hawa zara si aur lachakne wala main

    safar mein tanha qadam uThana mushkil hai

    sath tumhaare kabhi na thakne wala main

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-bani (Pg. 284)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now