SEARCH RESULTS
Showing search results for "tiir"
Sher MATCHES FOR "tiir"
Sher
dushmano.n ke saath mere dost bhii aazaad hai.n
dekhnaa hai khii.nchtaa hai mujh pe pahlaa tiir kaun
Parveen Shakir
Sher
tiir khaane kii havas hai to jigar paidaa kar
sarfaroshii kii tamannaa hai to sar paidaa kar
Ameer Minai
Sher
ko.ii mere dil se puuchhe tire tiir-e-niim-kash ko
ye KHalish kahaa.n se hotii jo jigar ke paar hotaa
Mirza Ghalib
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
dekhaa jo khaa ke tiir kamii.n-gaah kii taraf
apne hii dosto.n se mulaaqaat ho ga.ii
Hafeez Jalandhari
Sher
tiir par tiir lagaa.o tumhe.n Dar kis kaa hai
siina kis kaa hai mirii jaan jigar kis kaa hai
Ameer Minai
Sher
kisii dushman kaa ko.ii tiir na pahu.nchaa mujh tak
dekhnaa ab ke miraa dost kamaa.n khe.nchtaa hai
Ahmad Faraz
Sher
jaatii hai duur baat nikal kar zabaan se
phirtaa nahii.n vo tiir jo niklaa kamaan se
Muneer Shikohabadi
Sher
aap ne tiir lagaayaa to ko.ii baat na thii
zaKHm mai.n ne jo dikhaayaa to buraa maan ga.e
Hameed Azimabadi
Sher
ik aur tiir chalaa apnaa ahd puuraa kar
abhii parinde me.n tho.Dii sii jaan baaqii hai
Naz Qadri
Sher
ab na 'Gaalib' se shikaayat hai na shikva 'miir' kaa
ban gayaa mai.n bhii nishaana reKHta ke tiir kaa
Mohammad Alvi
Sher
Bahadur Shah Zafar
Sher
dil pyaar kii nazar ke liye be-qaraar hai
ik tiir is taraf bhii ye taaza shikaar hai
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
kalkatte kaa jo zikr kiyaa tuu ne ham-nashii.n
ik tiir mere siine me.n maaraa ki haa.e haa.e
Mirza Ghalib
Sher
tiir pe tiir nishaano.n pe nishaane badle
shukr hai husn ke andaaz puraane badle