SEARCH RESULTS
Showing search results for "tishnagi-e-mashaam"
Sher MATCHES FOR "tishnagi-e-mashaam"
Sher
Aale Ahmad Suroor
Sher
tishnagii aa tujhe dariyaa ke havaale kar duu.n
tujh ko is haal me.n pyaasaa nahii.n dekhaa jaataa
Aadil Rahi
Sher
na ba.ndhe tishnagi-e-zauq ke mazmuu.n 'Gaalib'
garche dil khol ke dariyaa ko bhii saahil baa.ndhaa
Mirza Ghalib
Sher
Mahshar Inayati
Sher
ba.Dii taviil hai 'mahshar' kisii ke hijr kii baat
ko.ii Gazal hii sunaa.o ki nii.nd aa jaa.e
Mahshar Inayati
Sher
Mahshar Inayati
Sher
ruKHsaar kaa de shart nahii.n bosa-e-lab se
jo jii me.n tire aa.e so de yaar magar de
Maatam Fazl Mohammad
Sher
jab tak ki na dekhaa thaa qad-e-yaar kaa aalam
mai.n mo'taqid-e-fitna-e-mahshar na hu.aa thaa
Mirza Ghalib
Sher
to.Daa hai dam abhii abhii biimaar-e-hijr ne
aa.e magar huzuur ko taaKHiir ho ga.ii
Jagat Mohan Lal Ravan
Sher
ye mere paas jo chup-chaap aa.e baiThe hai.n
hazaar fitna-e-mahshar uThaa.e baiThe hai.n
Nooh Narvi
Sher
aamaal kii pursish na kar ai daavar-e-mahshar
majbuur to muKHtaar kabhii ho nahii.n saktaa
Josh Malsiani
Sher
vo chaahte hai.n ki manzil kaa zikr to aa.e
magar kahaanii se rasta haTaa liyaa jaa.e
Nishant Shrivastava Nayab
Sher
hairat me.n huu.n ilaahii kyuu.n-kar ye KHatm hogaa
kotaah roz-e-mahshar qissa daraaz meraa
Sharaf Mujaddidi
Sher
raato.n kii nii.nd ek parii-zaad le u.Dii
din kaa sukuun fikr-e-ma.iishat me.n kho gayaa
Afzal Ali Afzal
Sher
kahuu.ngaa daavar-e-mahshar kar diyaa jaa.e
ki umr bhar usii kaafir ko mai.n ne pyaar kiyaa
Munni Bai Hijab
Sher
vo bulaate to hai.n mujh ko magar ai jazba-e-dil
shauq itnaa bhii na ba.Dh jaa.e ki jaa.e na bane
A. D. Azhar
Sher
sar-e-mahshar yahii puuchhuu.ngaa KHudaa se pahle
tuu ne rokaa bhii thaa bande ko KHataa se pahle