SEARCH RESULTS
Showing search results for "tosha-e-hashar"
Sher MATCHES FOR "tosha-e-hashar"
Sher
qaamat tirii daliil qayaamat kii ho ga.ii
kaam aaftaab-e-hashr kaa ruKHsaar ne kiyaa
Haidar Ali Aatish
Sher
maaKHuuz hoge shaiKH-e-riyaa-kaar roz-e-hashr
pa.Dhte ho tum azaab kii aayaat be-tarah
Hasrat Azimabadi
Sher
begam bhii hai.n kha.Dii hu.ii maidaan-e-hashr me.n
mujh se mire gunah kaa hisaab ai KHudaa na maa.ng
Hashim Azimabadi
Sher
Haider Dehlvi
Sher
hujuum-e-hashr me.n kholuu.ngaa adl kaa daftar
abhii to faisle tahriir kar rahaa huu.n mai.n
Abdul Hamid Adam
Sher
jo aa.e hashr me.n vo sab ko maarte aa.e
jidhar nigaah phirii choT par lagaa.ii choT
Ahmad Husain Mail
Sher
naadaan kah rahe hai.n jise aaftaab-e-hashr
zarra hai us ke ruu-e-daraKHshaa.n ke saamne
Rajab Ali Beg Suroor
Sher
miizaa.n kha.Dii hu.ii mire aage na roz-e-hashr
dabnaa pa.Daa use mire baar-e-gunaah se
Jaleel Manikpuri
Sher
miyaan-e-hashr ye kaafir ba.De itraa.e phirte hai.n
maza aa jaa.e aise me.n agar sun le KHudaa merii
Muztar Khairabadi
Sher
tum kyo.n udaas ho ga.e maidaan-e-hashr me.n
kah do to dil kii dil me.n mirii daastaa.n rahe
Abr Ahsani Ganauri
Sher
Chakbast Braj Narayan
Sher
daavar-e-hashr miraa naama-e-a.amaal na dekh
is me.n kuchh parda-nashiino.n ke bhii naam aate hai.n
Mohammad Deen Taseer
Sher
is taraf ruKH tirii rahmat kaa jo dekhaa dam-e-hashr
mil ga.e dau.D ke zaahid bhii gunahgaaro.n me.n
Unknown
Sher
kahne ko faqat ibn-e-alii ibn-e-alii hai.n
dekho to kahii.n jazba-e-haidar nahii.n miltaa
Ahsan Gulfam
Sher
zabaan-e-haal se ye lucknow kii KHaak kahtii hai
miTaayaa gardish-e-aflaak ne jaah-o-hasham meraa
Chakbast Braj Narayan
Sher
tez rakhiyo sar-e-har-KHaar ko ai dasht-e-junuu.n
shaayad aa jaa.e ko.ii aabla-paa mere ba.ad