SEARCH RESULTS
Showing search results for "tulips"
Sher MATCHES FOR "tulips"
Sher
vo ek lamha jise tum ne muKHtasar jaanaa
ham aaise lamhe me.n ik daastaa.n banaate hai.n
Taleef Haidar
Sher
ye shahr apnii isii haav-huu se zinda hai
tumhaarii aur mirii guftuguu se zinda hai
Taleef Haidar
Sher
andar kaa zahr-naak a.ndheraa hii thaa bahut
sar par tulii kha.Dii hai shab-e-taar kis liye
Zafar Iqbal
Sher
inkaar bhii karne kaa bahaana nahii.n miltaa
iqraar bhii karne kaa mazaa dekh rahe hai.n
Taleef Haidar
Sher
use kahaa.n hame.n qaidii banaa ke rakhnaa thaa
hamii.n ko shauq nahii.n thaa kabhii rihaa.ii kaa
Taleef Haidar
Sher
KHudaa vajuud me.n hai aadmii ke hone se
aur aadmii kaa tasalsul KHudaa se qaa.em hai
Taleef Haidar
Sher
is tarah tujhe ishq kiyaa hai ki ye duniyaa
ham ko hii kahii.n ishq kaa haasil na banaa de
Taleef Haidar
Sher
KHirad nahii.n hai yahaa.n bas junuun kaa saudaa
ham is junuun se aage makaa.n banaate hai.n
Taleef Haidar
Sher
Taleef Haidar
Sher
aksar mire shero.n kii sanaa karte rahe hai.n
vo log jo Gaalib ke taraf-daar nahii.n hai.n