SEARCH RESULTS
Showing search results for "tuubaa"
Sher MATCHES FOR "tuubaa"
Sher
kii mire qatl ke baa'd us ne jafaa se tauba
haa.e us zuud-pashiimaa.n kaa pashiimaa.n honaa
Mirza Ghalib
Sher
Parveen Shakir
Sher
Qateel Shifai
Sher
shab ko mai KHuub sii pii sub.h ko tauba kar lii
ri.nd ke ri.nd rahe haath se jannat na ga.ii
Jalal Lakhnavi
Sher
un ke ruKHsaar pe Dhalke hu.e aa.nsuu tauba
mai.n ne shabnam ko bhii sho.alo.n pe machalte dekhaa
Sahir Ludhianvi
Sher
barsaat ke aate hii tauba na rahii baaqii
baadal jo nazar aa.e badlii merii niiyat bhii
Hasrat Mohani
Sher
Allama Iqbal
Sher
guzre hai.n mai-kade se jo tauba ke baa'd ham
kuchh duur aadatan bhii qadam Dagmagaa.e hai.n
Khumar Barabankavi
Sher
TuuTaa to huu.n magar abhii bikhraa nahii.n 'faraaz'
mere badan pe jaise shikasto.n kaa jaal ho
Ahmad Faraz
Sher
Amjad Islam Amjad
Sher
gar kabhii ronaa hii pa.D jaa.e to itnaa ronaa
aa ke barsaat tire saamne tauba kar le
Munawwar Rana
Sher
shirkat gunaah me.n bhii rahe kuchh savaab kii
tauba ke saath to.Diye botal sharaab kii
Zaheer Dehlvi
Sher
vo kaun hai.n jinhe.n tauba kii mil ga.ii fursat
hame.n gunaah bhii karne ko zindagii kam hai
Anand Narayan Mulla
Sher
mirii taraf se to TuuTaa nahii.n ko.ii rishta
kisii ne to.D diyaa e'tibaar TuuT gayaa
Akhtar Nazmi
Sher
aap pachhtaa.e.n nahii.n jaur se tauba na kare.n
aap ke sar kii qasam 'daaG' kaa haal achchhaa hai