SEARCH RESULTS
Showing search results for "tuul"
Sher MATCHES FOR "tuul"
Sher
qaasid payaam-e-shauq ko denaa bahut na tuul
kahnaa faqat ye un se ki aa.nkhe.n taras ga.ii.n
Jaleel Manikpuri
Sher
da.avaa bahut ba.Daa hai riyaazii me.n aap ko
tuul-e-shab-e-firaaq ko to naap diijiye
Akbar Allahabadi
Sher
tuul-e-Gam-e-hayaat se ghabraa na ai 'jigar'
aisii bhii ko.ii shaam hai jis kii sahar na ho
Jigar Moradabadi
Sher
tuul-e-shab-e-firaaq kaa qissa na puuchhiye
mahshar talak kahuu.n mai.n agar muKHtasar kahuu.n
Ameer Minai
Sher
Ibn e Insha
Sher
maanaa ki terii diid ke qaabil nahii.n huu.n mai.n
tuu meraa shauq dekh miraa intizaar dekh
Allama Iqbal
Sher
ye saal tuul-e-masaafat se chuur chuur gayaa
ye ek saal to guzraa hai ik sadii kii tarah
Asrar Zaidi
Sher
dekh kar tuul-e-shab-e-hijr du.aa kartaa huu.n
vasl ke roz se bhii umr mirii kam ho jaa.e
Mirza Raza Barq
Sher
idhar to tuul diyaa hai umiid ko us ne
udhar hayaat ataa kii hai muKHtasar mujh ko
Kaifi Chirayyakoti
Sher
apnaa to tuul-e-umr se ghabraa gayaa hai jii
ghar pahu.nche.n ham tamaam bhii ho ye safar kahii.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
'naasirii' qabr pe ibrat ke liye likhvaa do
tuul khii.nchaa hai yahaa.n tak shab-e-tanhaa.ii ne
Nasiri Lakhnavi
Sher
dil kii lahro.n kaa tuul-o-arz na puuchh
kabhuu dariyaa kabhuu safiinaa hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
kotaah umr ho ga.ii aur ye na kam hu.ii
ai jaan aa ke tuul-e-shab-e-intizaar dekh
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
Anwar Shuoor
Sher
hu.aa hai tujh se bichha.Dne ke baa'd ye maa'luum
ki tuu nahii.n thaa tire saath ek duniyaa thii