SEARCH RESULTS
Showing search results for "u.Daan"
Sher MATCHES FOR "u.Daan"
Sher
use gumaa.n hai ki merii u.Daan kuchh kam hai
mujhe yaqii.n hai ki ye aasmaan kuchh kam hai
Nafas Ambalvi
Sher
parind shaaKH pe tanhaa udaas baiThaa hai
u.Daan bhuul gayaa muddato.n kii bandish me.n
Khaleel Tanveer
Sher
uu.nchii u.Daan ke liye par taulte the ham
uu.nchaa.iyo.n pe saa.ns ghuTegii pataa na thaa
Aashufta Changezi
Sher
na.ii fazaa ke parinde hai.n kitne matvaale
ki baal-o-par se bhii pahle u.Daan maa.ngte hai.n
Manzoor Hashmi
Sher
mat baiTh aashiyaa.n me.n paro.n ko sameT kar
kar hausla kushaada fazaa me.n u.Daan kaa
Mahfuzur Rahman Adil
Sher
kabhii na sochaa thaa mai.n ne u.Daan bharte hu.e
ki ranj hogaa zamii.n par mujhe utarte hu.e
Faragh Rohvi
Sher
Taufiq-ul-hasan
Sher
mirii u.Daan agar mujh ko niiche aane de
to aasmaan kii gahraa.ii me.n utar jaa.uu.n
Waheed Akhtar
Sher
ajab yaqiin saa us shaKHs ke gumaan me.n thaa
vo baat karte hu.e bhii na.ii u.Daan me.n thaa
Tabish Kamal
Sher
mai.n par-shikasta na thaa baadalo.n ke biich magar
mirii u.Daan kaa zanjiir se lipaT jaanaa
Syed Amin Ashraf
Sher
ab sochtii huu.n kyo.n ye safar daa.ere kaa thaa
mai.n us ke par lagaa.e hu.e thii u.Daan me.n
Farhat Zahid
Sher
mai.n ne ukhaa.D phe.nke hai.n baazuu se aise par
jo bojh the kabhii mirii uu.nchii u.Daan me.n
Armaan Jodhpuri
Sher
ye aasmaan hai behtar ki aashiyaa.n meraa
parind soch rahaa hai u.Daan bharte hu.e
Salman Khayal
Sher
ye ishq nahii.n aasaa.n itnaa hii samajh liije
ik aag kaa dariyaa hai aur Duub ke jaanaa hai
Jigar Moradabadi
Sher
ab judaa.ii ke safar ko mire aasaan karo
tum mujhe KHvaab me.n aa kar na pareshaan karo