SEARCH RESULTS
Showing search results for "ugaanaa"
Sher MATCHES FOR "ugaanaa"
Sher
aaGaaz-e-mohabbat kaa anjaam bas itnaa hai
jab dil me.n tamannaa thii ab dil hii tamannaa hai
Jigar Moradabadi
Sher
aagahii karb vafaa sabr tamannaa ehsaas
mere hii siine me.n utre hai.n ye KHanjar saare
Bashir Farooqi
Sher
aaGaaz-e-mohabbat se anjaam-e-mohabbat tak
guzraa hai jo kuchh ham par tum ne bhii sunaa hogaa
Dil Shahjahanpuri
Sher
jab ishq sikhaataa hai aadaab-e-KHud-aagaahii
khulte hai.n Gulaamo.n par asraar-e-shahanshaahii
Allama Iqbal
Sher
Munawwar Rana
Sher
nii.nd aa.e to achaanak tirii aahaT sun luu.n
jaag uTThuu.n to badan se tirii KHushbuu aa.e
Shahzad Ahmad
Sher
Jalaluddin Akbar
Sher
'saudaa' jo be-KHabar hai vahii yaa.n kare hai aish
mushkil bahut hai un ko jo rakhte hai.n aagahii
Mohammad Rafi Sauda
Sher
sa.ng uThaanaa to ba.Dii baat hai ab shahr ke log
aa.nkh uThaa kar bhii nahii.n dekhte diivaane ko
Ahmad Mushtaq
Sher
kisii ke aib chhupaanaa savaab hai lekin
kabhii kabhii ko.ii parda uThaanaa pa.Dtaa hai
Azhar Inayati
Sher
aagahii daam-e-shuniidan jis qadar chaahe bichhaa.e
mudda.aa anqaa hai apne aalam-e-taqriir kaa
Mirza Ghalib
Sher
agar shu.uur na ho to bahisht hai duniyaa
ba.De azaab me.n guzrii hai aagahii ke saath