SEARCH RESULTS
Showing search results for "ulajh"
Sher MATCHES FOR "ulajh"
Sher
tujhe manaa.uu.n ki apnii anaa kii baat sunuu.n
ulajh rahaa hai mire faislo.n kaa resham phir
Parveen Shakir
Sher
tuu badaltaa hai to be-saaKHta merii aa.nkhe.n
apne haatho.n kii lakiiro.n se ulajh jaatii hai.n
Parveen Shakir
Sher
ulajh ke rah ga.e chehre mirii nigaaho.n me.n
kuchh itnii tezii se badle the un kii baat ke ra.ng
Fatima Hasan
Sher
falsafe saare kitaabo.n me.n ulajh kar rah ga.e
dars-gaaho.n me.n nisaabo.n kii thakan baaqii rahii
Naseer Ahmad Nasir
Sher
Ada Jafarey
Sher
ulajh rahe hai.n bahut log merii shohrat se
kisii ko yuu.n to ko.ii mujh se iKHtilaaf na thaa
Bekal Utsahi
Sher
Zubair Rizvi
Sher
Akhtar Orenvi
Sher
dil us kii taar-e-zulf ke bal me.n ulajh gayaa
suljhegaa kis tarah se ye bistaar hai Gazab
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
aa.o tajdiid-e-vafaa phir se kare.n ham varna
baat kuchh aur ulajh jaa.egii suljhaane se
Naseer Arzoo
Sher
vo chehra mujhe saaf dikhaa.ii nahii.n detaa
rah jaatii hai.n saayo.n me.n ulajh kar mirii aa.nkhe.n
Sarfaraz Khalid
Sher
KHud apnii fikr ugaatii hai vahm ke kaa.nTe
ulajh ulajh ke miraa har savaal Thahraa hai
Bilqis Zafirul Hasan
Sher
Raghvendra Dwivedi
Sher
Anjum Khaleeq
Sher
ta'alluqaat bhii resham kii tarah hote hai.n
ulajh ga.e to siraa umr bhar nahii.n miltaa
Ahmad Alvi
Sher
ulajh rahaa thaa abhii KHvaab kii fasiil se mai.n
ki naa-rasaa.ii ne ik shab mujhe rasaa.ii dii
Bilal Ahmad
Sher
pechiidgii-e-tab.a kii ye saaf hai daliil
ma.anii ulajh ke rah ga.e un ke kalaam me.n
Meer Mohammad Sultan Aaqil
Sher
Shah Naseer
Sher
zulf-e-pur-pech ke saude me.n ajab kyaa imkaa.n
gar ulajh jaa.e KHariidaar KHariidaar ke saath