SEARCH RESULTS
Showing search results for "ummiid-e-visaal-e-ma.asuuq"
Sher MATCHES FOR "ummiid-e-visaal-e-ma.asuuq"
Sher
ye gum hu.e hai.n KHayaal-e-visaal-e-jaanaa.n me.n
ki ghar me.n phirte hai.n ham apnii justujuu karte
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
ba.ad-e-shab-e-visaal na dekhuu.n mai.n daaG-e-hijr
yaa-rab charaaG-e-umr bujhaa de havaa-e-sub.h
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
puuraa kare.nge holii me.n kyaa vaada-e-visaal
jin ko abhii basant kii ai dil KHabar nahii.n
Kalb-e-husain Nadir
Sher
bad-qismato.n ko gar ho mayassar shab-e-visaal
suuraj Guruub hote hii zaahir ho nuur-e-sub.h
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
ye na thii hamaarii qismat ki visaal-e-yaar hotaa
agar aur jiite rahte yahii intizaar hotaa
Mirza Ghalib
Sher
pas-e-visaal bhii hai masti-e-visaal vahii
bahaar KHatm hu.ii mai.n na hoshiyaar hu.aa
Jaleel Manikpuri
Sher
zaahid umiid-e-rahmat-e-haq aur hajv-e-mai
pahle sharaab pii ke gunaah-gaar bhii to ho
Ameer Minai
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
aas kyaa ab to umiid-e-naa-ummiidii bhii nahii.n
kaun de mujh ko tasallii kaun bahlaa.e mujhe
Munshi Amirullah Tasleem
Sher
shab-e-visaal hai gul kar do in charaaGo.n ko
KHushii kii bazm me.n kyaa kaam jalne vaalo.n kaa
Dagh Dehlvi
Sher
dil le gayaa hai mujh kuu.n de ummiid-e-dil-dahii
zaalim kabhii to laa.egaa meraa liyaa hu.aa
Siraj Aurangabadi
Sher
shab-e-visaal lagaayaa jo un ko siine se
to ha.ns ke bole alag baiThiye qariine se
Hafeez Jaunpuri
Sher
naakaamii-e-visaal kaa paiGaam hai mujhe
shiirii.n kaa zikr bhii na karo kohkan ke saath